main ek raat thi
maiñ raat thī siyāh raat
ek nuqte meñ simTī huī
aañkh kī putlī jaise nuqte meñ
maiñ ne ek din ko bāhar nikālā
phir us din kī bā.īñ paslī se
ḳhud bāhar niklī
phir mire andar kitne sūraj chāñd aur sitāre apnī apnī manzileñ tai karne lage
maiñ raat huuñ kabhī na ḳhatm hone vaalī raat maiñ ne apnī poshāk kā rang paidā kiyā phir rangoñ se rang milte chale ga.e
maiñ raat huuñ
mere ek baazū par sub.h aur dūsre par shaam so rahe haiñ
merī chādar ke nīche
shahr qabristānoñ kī tarah paḌe hue haiñ
azāneñ ek dūsre se Takrā kar
gumbadoñ ke ās-pās
gir jaatī haiñ
log bhinbhinātī huī makkhiyoñ kī tarah
jāgte aur so jaate haiñ
ḳhud apnā lahū girāte aur chāTte haiñ
samundar chīḳhte aur dariyā reñgte
dekhtī rahtī huuñ
dekhtī rahtī huuñ chup-chāp
un kā ant
jin se phir unhī kā janam hogā
ant jo na.e janm kā biij hai
ġhurūb jo tulūa ke tasht kā ġhilāf hai
maiñ rone aur hañsne se māvarā huuñ
kabhī kabhī maañ kī mohabbat
meñ rote hue bachche
kī āvāz mujhe chauñkā detī hai
main raat thi siyah raat
ek nuqte mein simTi hui
aankh ki putli jaise nuqte mein
main ne ek din ko bahar nikala
phir us din ki bain pasli se
KHud bahar nikli
phir mere andar kitne suraj chand aur sitare apni apni manzilen tai karne lage
main raat hun kabhi na KHatm hone wali raat main ne apni poshak ka rang paida kiya phir rangon se rang milte chale gae
main raat hun
mere ek bazu par subh aur dusre par sham so rahe hain
meri chadar ke niche
shahr qabristanon ki tarah paDe hue hain
azanen ek dusre se Takra kar
gumbadon ke aas-pas
gir jati hain
log bhinbhinati hui makkhiyon ki tarah
jagte aur so jate hain
KHud apna lahu giraate aur chaTte hain
samundar chiKHte aur dariya rengte
dekhti rahti hun
dekhti rahti hun chup-chap
un ka ant
jin se phir unhi ka janam hoga
ant jo nae janm ka bij hai
ghurub jo tulua ke tasht ka ghilaf hai
main rone aur hansne se mawara hun
kabhi kabhi man ki mohabbat
mein rote hue bachche
ki aawaz mujhe chaunka deti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.