main ek sang-e-mil hun
maiñ ek sañg-e-mīl huuñ
har musāfir merī jānib
dekhtā hai lā-shu.ūrī taur par
aur apne zehn meñ rakkhe hue
har qadam tasḳhīr-e-manzil kā ḳhayāl
baḌhtā jaatā hai vo apnī raah par
bebasī kā merī aalam dekhiye
jāmid-o-sākit huuñ maiñ apnī jagah
kyuuñ ki
maiñ ek sañg-e-mīl huuñ
jaane kitne log guzre
aur guzreñge isī ik raah se
har kisī ko apnī manzil kī hai dhun
koī hañstā aur koī rotā hai
koī apnī fikr meñ Duubā huā
tund tūfāñ kī tarah baḌhtā koī
laḌkhaḌāte paañv aur thakan se chuur jism
sab ke chehroñ kā ta.assur
dekhtā rahtā huuñ maiñ
har musāfir ke ta.iiñ
sochtā rahtā huuñ maiñ aksar yahī
us kī manzil us ko mil pā.egī kyā
main ek sang-e-mil hun
har musafir meri jaanib
dekhta hai la-shuuri taur par
aur apne zehn mein rakkhe hue
har qadam tasKHir-e-manzil ka KHayal
baDhta jata hai wo apni rah par
bebasi ka meri aalam dekhiye
jamid-o-sakit hun main apni jagah
kyun ki
main ek sang-e-mil hun
jaane kitne log guzre
aur guzrenge isi ek rah se
har kisi ko apni manzil ki hai dhun
koi hansta aur koi rota hai
koi apni fikr mein Duba hua
tund tufan ki tarah baDhta koi
laDkhaDate panw aur thakan se chur jism
sab ke chehron ka tassur
dekhta rahta hun main
har musafir ke tain
sochta rahta hun main aksar yahi
us ki manzil us ko mil paegi kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.