main hota to main kya karta
soch rahā huuñ
us añdhiyārī raat meñ biivī aur bachche ko
chhoḌ ke jaane vaale gautam ne āḳhir kyā sochā hogā
kyā us ne jaane se pahle
jhuk kar bachche ke gāloñ ko pyaar kiyā thā
kyā us ne takiye par bikhre
biivī ke kaale bāloñ ko
haath kī ik halkī jumbish se
haule-haule sahlāyā thā
kyā ik lamha pyaar ne baḌh kar
man ke bairāgī jazbe ko rok diyā thā
kyā us ne jaate jaate bhī
muḌ kar ek nazar dekhā thā
koī ThanDā saañs liyā thā
jab bhī gautam ke baare meñ
pankh pasāre merī socheñ
zehn kī khiḌkī se bāhar uḌne lagtī haiñ
apne aap se pūchh pūchh kar thak jaatā huuñ
maiñ hotā to maiñ kyā kartā
soch raha hun
us andhiyari raat mein biwi aur bachche ko
chhoD ke jaane wale gautam ne aaKHir kya socha hoga
kya us ne jaane se pahle
jhuk kar bachche ke galon ko pyar kiya tha
kya us ne takiye par bikhre
biwi ke kale baalon ko
hath ki ek halki jumbish se
haule-haule sahlaya tha
kya ek lamha pyar ne baDh kar
man ke bairagi jazbe ko rok diya tha
kya us ne jate jate bhi
muD kar ek nazar dekha tha
koi ThanDa sans liya tha
jab bhi gautam ke bare mein
pankh pasare meri sochen
zehn ki khiDki se bahar uDne lagti hain
apne aap se puchh puchh kar thak jata hun
main hota to main kya karta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.