main jab main se bahar nikla
maiñ jab maiñ se bāhar niklā
maiñ ne pūchhā kaun hai to ḳhāmoshī thī
koī nahīñ thā ek dhuñdalkā chhāyā thā
sūraj bhī kirnoñ ko sameTe tārīkī meñ leTā thā
ā.īne par raakh jamī thī kohre kī sī
raakh ki jis meñ koī sūrat
saaf nazar aatī hī nahīñ thī
merī sūrat mere zehn se mahv thī lekin
ā.īne par raakh jamī thī
maiñ jab maiñ se bāhar niklā
shahr meñ saa.e hī saa.e the koī nahīñ thā
jaise hiroshima meñ atom bam kā dhamāka
keñchulī sab ke jismoñ kī rūhoñ se utāre
har-sū aise phail rahā thā
jaise us ne vaqt ko maut ke ghaaT utārā
shahr the yā sahrā the jin meñ bādal ban kar
narm bagūle
bāñhoñ meñ bāñheñ Daale yuuñ naach rahe the
jaise shām-o-sahar kā chakkar TuuT gayā ho
jaise vo āzād hue hoñ shām-o-sahar se
maiñ jab maiñ se bāhar niklā
vaqt ne mere hāthoñ meñ ik lamha rakkhā
aur kahā ye lamha terā hai jā le jā
ye lamha jo nūr-e-azal hai
ye lamha jo bahr-e-abad hai
is lamhe kī kokh meñ jannat bhī hai nār-e-jahannam bhī
is lamhe ko tū jaisā bhī chāhegā ban jā.egā
ye lamha terā lamha hai
apne jism meñ rakh le tū ye ik dhaḌkan hai
apnī aañkh se Tapkā le tū ik aañsū hai
havas kī miTTī meñ bo.egā lamhoñ kā ambār lagegā
ishq kī aañch dikhā.egā to terā lamha
ġhār-e-hirā meñ tuur kī jot jagā.egā
ab maiñ apne aap meñ aa kar soch rahā huuñ
is lamhe ko biich ke donoñ vaqt kī roTī khā luuñ maiñ
yā us ko ik phuul banā kar
terī zulfoñ meñ rakh duuñ aur apnā pyaar jatā luuñ
maiñ
main jab main se bahar nikla
main ne puchha kaun hai to KHamoshi thi
koi nahin tha ek dhundalka chhaya tha
suraj bhi kirnon ko sameTe tariki mein leTa tha
aaine par rakh jami thi kohre ki si
rakh ki jis mein koi surat
saf nazar aati hi nahin thi
meri surat mere zehn se mahw thi lekin
aaine par rakh jami thi
main jab main se bahar nikla
shahr mein sae hi sae the koi nahin tha
jaise hiroshima mein atom bam ka dhamaka
kenchuli sab ke jismon ki ruhon se utare
har-su aise phail raha tha
jaise us ne waqt ko maut ke ghaT utara
shahr the ya sahra the jin mein baadal ban kar
narm bagule
banhon mein banhen Dale yun nach rahe the
jaise sham-o-sahar ka chakkar TuT gaya ho
jaise wo aazad hue hon sham-o-sahar se
main jab main se bahar nikla
waqt ne mere hathon mein ek lamha rakkha
aur kaha ye lamha tera hai ja le ja
ye lamha jo nur-e-azal hai
ye lamha jo bahr-e-abad hai
is lamhe ki kokh mein jannat bhi hai nar-e-jahannam bhi
is lamhe ko tu jaisa bhi chahega ban jaega
ye lamha tera lamha hai
apne jism mein rakh le tu ye ek dhaDkan hai
apni aankh se Tapka le tu ek aansu hai
hawas ki miTTi mein boega lamhon ka ambar lagega
ishq ki aanch dikhaega to tera lamha
ghaar-e-hira mein tur ki jot jagaega
ab main apne aap mein aa kar soch raha hun
is lamhe ko bich ke donon waqt ki roTi kha lun main
ya us ko ek phul bana kar
teri zulfon mein rakh dun aur apna pyar jata lun
main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.