main jina chahta hun magar
maiñ jiinā chāhtā huuñ
magar kīḌe-makoḌoñ aur be-māya maḳhlūqāt kī tarah
reñg reñg kar nahīñ!
maiñ jiinā chāhtā huuñ
magar apne bātin meñ
kulbulāte shar par
zāhirī aḳhlāq kī ridā
Daal kar nahīñ
maiñ jiinā chāhtā huuñ
magar aise nahīñ
ki mere vajūd ke andar
buġhz havas aur riyā-kārī kī bārūdī surañgeñ
bichhī hoñ
aur har lahza har pal
ye ḳhauf
ki kab koī
remote control se
anā aur ġhairat ehsās aur jazbe
kī ḳhūb-sūrat imāratoñ ko
Dhā de
maiñ jiinā chāhtā huuñ
apne puure vajūd kī saarī ikā.īyoñ ke saath
aur mujhe ye ehsās na satā.e
ki ye zindagī
kisī kī bhiik meñ dī huī sāñsoñ kā hissa hai
maiñ jiinā chāhtā huuñ
ek aisī duniyā meñ
jahāñ mulk-gīrī ke junūn
itne shadīd na hoñ ki
itemi tavānā.ī se mumayyaz ālāt fazā ko masmūm kar deñ
insān us kī hazāroñ barsoñ kī purānī qadreñ
aisī pāmāl ho jaa.eñ jaise haqīr zarre
magar maiñ jāntā huuñ
ye sab mumkin nahīñ
to maiñ marnā chāhūñgā
par aisī maut nahīñ
ki merī laash ko
qabristān tak pahuñchāne meñ
takalluf majbūrī aur zabardastī kā shā.iba ho
yā duā meñ hilte hue lab
aur uThā.e hue haath
majbūrān o rasman hoñ
haañ aisī maut jo kisī kī āñkhoñ meñ
Thahre hue chand qatre
ḳhāmoshī se mere kafan meñ
jazb ho jaa.eñ
aur bas!!
main jina chahta hun
magar kiDe-makoDon aur be-maya maKHluqat ki tarah
reng reng kar nahin!
main jina chahta hun
magar apne baatin mein
kulbulate shar par
zahiri aKHlaq ki rida
Dal kar nahin
main jina chahta hun
magar aise nahin
ki mere wajud ke andar
bughz hawas aur riya-kari ki barudi surangen
bichhi hon
aur har lahza har pal
ye KHauf
ki kab koi
remote control se
ana aur ghairat ehsas aur jazbe
ki KHub-surat imaraton ko
Dha de
main jina chahta hun
apne pure wajud ki sari ikaiyon ke sath
aur mujhe ye ehsas na satae
ki ye zindagi
kisi ki bhik mein di hui sanson ka hissa hai
main jina chahta hun
ek aisi duniya mein
jahan mulk-giri ke junun
itne shadid na hon ki
itemi tawanai se mumayyaz aalat faza ko masmum kar den
insan us ki hazaron barson ki purani qadren
aisi pamal ho jaen jaise haqir zarre
magar main jaanta hun
ye sab mumkin nahin
to main marna chahunga
par aisi maut nahin
ki meri lash ko
qabristan tak pahunchane mein
takalluf majburi aur zabardasti ka shaiba ho
ya dua mein hilte hue lab
aur uThae hue hath
majburan o rasman hon
han aisi maut jo kisi ki aankhon mein
Thahre hue chand qatre
KHamoshi se mere kafan mein
jazb ho jaen
aur bas!!
- Book : Khushk Tahni Zard Pattay (Pg. 76)
- Author : Yousuf Taqi
- Publication : Yousuf Taqi (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.