main kab likhunga git apni rihai ka
vo kahtī hai
mujhe tum se mohabbat hai
alī mere alī tum se mohabbat hai
vo sach kahtī hai sach kahtī rahī hai
abad kī āḳhirī shab tak vo sach kahtī rahegī
mujhe dīvār par us ne vahāñ Tāñgā huā hai
jahāñ se dekh saktā huuñ
zamīñ ke us taraf phailī ghanerī surma.ī tanhā.iyāñ
jo ḳhud us ne kabhī tahrīr kī hoñgī
akelī shaam ke ḳhāmosh hoñToñ par
magar jab se
vo ḳhud apnī ḳhabar meñ hai
use dīvār kī us dūsrī jānib kī koī bhī ḳhabar achchhī nahīñ lagtī
ḳhabar ne us ko kaisā be-ḳhabar rakhā huā hai
aur dīvār ko
dīvār ke pīchhe khaḌī
tanhā.iyoñ kī
mustatar lambī zabāneñ
chaaT kar kāġhaz banāne kā ilm meñ haiñ
maiñ us kāġhaz pe tab likhūñgā
giit apnī rihā.ī kā
wo kahti hai
mujhe tum se mohabbat hai
ali mere ali tum se mohabbat hai
wo sach kahti hai sach kahti rahi hai
abad ki aaKHiri shab tak wo sach kahti rahegi
mujhe diwar par us ne wahan Tanga hua hai
jahan se dekh sakta hun
zamin ke us taraf phaili ghaneri surmai tanhaiyan
jo KHud us ne kabhi tahrir ki hongi
akeli sham ke KHamosh honTon par
magar jab se
wo KHud apni KHabar mein hai
use diwar ki us dusri jaanib ki koi bhi KHabar achchhi nahin lagti
KHabar ne us ko kaisa be-KHabar rakha hua hai
aur diwar ko
diwar ke pichhe khaDi
tanhaiyon ki
mustatar lambi zabanen
chaT kar kaghaz banane ka ilm mein hain
main us kaghaz pe tab likhunga
git apni rihai ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.