main ki tum pe baz hun
jahāñ kahīñ se tum ne apne fāsle uThā liye
vahīñ se merī ibtidā huī
saikaḌoñ nahīf aur nazār haath
āsmān kī taraf uThe
aur ek saath uTh ke mere chāroñ samt
ka.ī safoñ meñ tan ga.e
maiñ tumhāre vāste
tumhāre naam se
ek aise baab ke dahāne par khaḌā huuñ
jo hazāroñ samtoñ ko rujūa hai
maiñ ki tum pe baaz huuñ
ḳhudā.ī kī sab ḳhudā.ī tum pe baaz hai
tum mirī taraf jhukī raho
jhukī raho
ki is ke ba.ad mere aur tumhāre jism kī
bā-murād shirkatoñ se ek tandurust shahr kī umiid hai
jahan kahin se tum ne apne fasle uTha liye
wahin se meri ibtida hui
saikaDon nahif aur nazar hath
aasman ki taraf uThe
aur ek sath uTh ke mere chaaron samt
kai safon mein tan gae
main tumhaare waste
tumhaare nam se
ek aise bab ke dahane par khaDa hun
jo hazaron samton ko rujua hai
main ki tum pe baz hun
KHudai ki sab KHudai tum pe baz hai
tum meri taraf jhuki raho
jhuki raho
ki is ke baad mere aur tumhaare jism ki
ba-murad shirkaton se ek tandurust shahr ki umid hai
- Book : aazaadii ke baad delhi men urdu nazm (Pg. 224)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.