main kisi kone mein
maiñ kisī kone meñ ḳhā.if sā khaḌā huuñ
aur chhup kar dekhtā huuñ
an-ginat sāyoñ kī bhiiḌ
afrātafrī meñ har ik sū
aur kartā huuñ tasavvur
qaid haiñ siine meñ ik ik saa.e ke
bas mashīnī dhaḌkaneñ
zehn haiñ bīmār un ke
qarz hai ehsān hai har saañs un kī
khokhlī un kī nigāheñ dekhtī haiñ
par binā bīnā.ī ke
murda haiñ ehsās un ke
ek nāzuk nanhā haath
merī ik uñglī pakaḌ kar
mujh ko vāpas khīñchtā hai
is bhayānak ḳhvāb se
mutma.in kartī hai
ik ma.asūm nannhī muskurāhaT
zindagī zinda hai ab bhī
main kisi kone mein KHaif sa khaDa hun
aur chhup kar dekhta hun
an-ginat sayon ki bhiD
afraatafri mein har ek su
aur karta hun tasawwur
qaid hain sine mein ek ek sae ke
bas mashini dhaDkanen
zehn hain bimar un ke
qarz hai ehsan hai har sans un ki
khokhli un ki nigahen dekhti hain
par bina binai ke
murda hain ehsas un ke
ek nazuk nanha hath
meri ek ungli pakaD kar
mujh ko wapas khinchta hai
is bhayanak KHwab se
mutmain karti hai
ek masum nannhi muskurahaT
zindagi zinda hai ab bhi
- Book : Namak (Pg. 41)
- Author : Subodh Saaqi
- Publication : Arshia Publications (2016)
- Edition : 2016
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.