Main kitne barson se roz
maiñ kitne barsoñ se roz apne anā kī ek parat
chhīltā huuñ
lahū lahū in hazār partoñ kī tah meñ patthar huuñ
jāntā huuñ
ye kahkashā.eñ ye kā.enāteñ ye raushnī ke siyāh raste
guzar ke terī talāsh meñ haiñ
ki ho na ho tum vahāñ kahīñ merī muntazir ho
mujhe yaqīñ hai ki tum merī baat sun rahī ho
magar nahīñ ho, ki ye jo tum ho, ye tum nahīñ ho
mirī anā kā koī nagar ho
ki jis ke raushan siyāh kūchoñ meñ
sar-kaTe ajnabī bhare haiñ
maiñ ruuh ke reshmī libāde haTā ke ḳhud se milūñgā lekin
mujhe ḳhabar hai ki tum vahāñ bhī nahīñ milogī
ki tum parastish kī aarzū kā koī bhañvar ho
koī ḳhudāvand-e-lab mile to
ki apnī banjar adā ke mandir meñ mūrtī kī tarah khaḌī ho
hazār sadiyoñ se raah tak tak ke jam ga.ī ho
main kitne barson se roz apne ana ki ek parat
chhilta hun
lahu lahu in hazar parton ki tah mein patthar hun
jaanta hun
ye kahkashaen ye kaenaten ye raushni ke siyah raste
guzar ke teri talash mein hain
ki ho na ho tum wahan kahin meri muntazir ho
mujhe yaqin hai ki tum meri baat sun rahi ho
magar nahin ho, ki ye jo tum ho, ye tum nahin ho
meri ana ka koi nagar ho
ki jis ke raushan siyah kuchon mein
sar-kaTe ajnabi bhare hain
main ruh ke reshmi libaade haTa ke KHud se milunga lekin
mujhe KHabar hai ki tum wahan bhi nahin milogi
ki tum parastish ki aarzu ka koi bhanwar ho
koi KHudawand-e-lab mile to
ki apni banjar ada ke mandir mein murti ki tarah khaDi ho
hazar sadiyon se rah tak tak ke jam gai ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.