main kya hun
maiñ kyā huuñ
maiñ kyā huuñ ye batlāo tum
phir ghī aur shakkar khaao tum
bāġhoñ meñ merā Derā hai
jañgal meñ merā baserā hai
ik taaj mire sar par hai dharā
uudā uudā niilā niilā
haiñ lambe lambe par mere
jo saare badan ko haiñ ghere
naqsh un ke jhamakte rahte haiñ
taare se chamakte rahte haiñ
jab bādal ghir kar aate haiñ
jab bādal bārish laate haiñ
us vaqt mirī jhankār suno
ik baar nahīñ sau baar suno
maiñ josh meñ jis dam aatā huuñ
par apne sab phailātā huuñ
phir nāchtā huuñ maiñ jī bhar ke
Thumak Thumak Thumak kar ke
tārīf mirī sab karte haiñ
sab mere husn pe marte haiñ
haiñ lekin paañv mire bhadde
bas haiñ yahī mujh ko dukh dete
maiñ kyā huuñ ye batlāo tum
phir ghī aur shakkar khaao tum
main kya hun
main kya hun ye batlao tum
phir ghi aur shakkar khao tum
baghon mein mera Dera hai
jangal mein mera basera hai
ek taj mere sar par hai dhara
uda uda nila nila
hain lambe lambe par mere
jo sare badan ko hain ghere
naqsh un ke jhamakte rahte hain
tare se chamakte rahte hain
jab baadal ghir kar aate hain
jab baadal barish late hain
us waqt meri jhankar suno
ek bar nahin sau bar suno
main josh mein jis dam aata hun
par apne sab phailata hun
phir nachta hun main ji bhar ke
Thumak Thumak Thumak kar ke
tarif meri sab karte hain
sab mere husn pe marte hain
hain lekin panw mere bhadde
bas hain yahi mujh ko dukh dete
main kya hun ye batlao tum
phir ghi aur shakkar khao tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.