main
maiñ kyā huuñ kaun huuñ kyūñkar huuñ
kuchh na kuchh huuñ hī
lekin
maiñ kyā nahīñ huuñ
satātā hai ye ḳhayāl mujhe
maiñ chāhtā huuñ ki jo kuchh nahīñ huuñ ho jā.ūñ
magar maiñ kyā huuñ
vo aur kuchh jo nahīñ huuñ maiñ kyā hai
kaun batā.e
kis tarah batlā.e
use maiñ ḳhud bhī to mahsūs hī sā kartā huuñ
qarīñ rag-e-jāñ ke
hamesha vo bhī nahīñ
hamesha vo bhī nahīñ
main kya hun kaun hun kyunkar hun
kuchh na kuchh hun hi
lekin
main kya nahin hun
satata hai ye KHayal mujhe
main chahta hun ki jo kuchh nahin hun ho jaun
magar main kya hun
wo aur kuchh jo nahin hun main kya hai
kaun batae
kis tarah batlae
use main KHud bhi to mahsus hi sa karta hun
qarin rag-e-jaan ke
hamesha wo bhi nahin
hamesha wo bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.