main nazm likhta hun!
maiñ jab taḳhlīq kā jugnū pakaḌtā huuñ
maiñ jab andar añdhere meñ
guñdhī miTTī kā paanī
raushnī kī buuñd kī ḳhvāhish jagātā hai
kīmiyā.ī ḳhvāb kitne ehtamām-añgez hote haiñ
bhaTaktī ḳhushbuoñ ko jamā karte haiñ
pahāḌoñ par paḌī bīnāoñ kī vus.atoñ ko
joḌ kar tartīb se rakhte haiñ
aur āñkheñ banāte haiñ
phir un meñ āñsuoñ kī fasl ugāte haiñ
mujhe bārish batātī hai
ki māthe se pasīna bah rahā hai
thuuk muñh bhar ke nikalne se
apāhij harkatoñ kā zañg utartā hai
aziyyat sahne kī lazzat mire andar utartī hai
maiñ bistar par sikuḌtā huuñ
na.ī ik nazm likhtā huuñ
main jab taKHliq ka jugnu pakaDta hun
main jab andar andhere mein
gundhi miTTi ka pani
raushni ki bund ki KHwahish jagata hai
kimiyai KHwab kitne ehtamam-angez hote hain
bhaTakti KHushbuon ko jama karte hain
pahaDon par paDi binaon ki wusaton ko
joD kar tartib se rakhte hain
aur aankhen banate hain
phir un mein aansuon ki fasl ugate hain
mujhe barish batati hai
ki mathe se pasina bah raha hai
thuk munh bhar ke nikalne se
apahij harkaton ka zang utarta hai
aziyyat sahne ki lazzat mere andar utarti hai
main bistar par sikuDta hun
nai ek nazm likhta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.