maine shairi likkhi
sukūt-e-shab meñ ḳhayālāt kī ravānī meñ
jo lafz maiñ ne likhe the na.ī kahānī meñ
maiñ aise lafzoñ ko pāband karne aayā huuñ
sutūr-e-haq kā maiñ tāvān bharne aayā huuñ
suḳhan-varī kī nazākat se huuñ nahīñ vāqif
munāfiqoñ kī siyāsat se huuñ nahīñ vāqif
jo mere dil meñ hai us ko kalām kartā huuñ
maiñ apne 'ishq ko valiyoñ ke naam kartā huuñ
ye kaise hogā ki maiñ bheḌiyoñ se Dar jā.ūñ
mirī sarisht meñ shāmil hai laḌ ke mar jā.ūñ
maiñ siina Thoñk ke kahtā huuñ karbalā.ī huuñ
maiñ huuñ payambar-e-haq amn kā maiñ daa’ī huuñ
maiñ manzaroñ ko badalne kī taab rakhtā huuñ
maiñ apnī jholī meñ chand aise ḳhvāb rakhtā huuñ
likhāriyoñ kā jo mela hai maiñ ne parkhā hai
qalam amānat-e-rab hai unheñ ḳhabar hī nahīñ
inheñ numā.ishī shohrat se itnī raġhbat hai
hai raat zulm kī aur vā’da-e-sahar hī nahīñ
junūn-e-'ishq kā fuqdān kyoñ huā in meñ
jo in ke man meñ sadāqat nahīñ to kuchh bhī nahīñ
mirā qalam to hai ehsās-e-dard se bojhal
nahīñ hai 'azmat-e-insān agar to kuchh bhī nahīñ
jo maiñ ne dekhā hai rāh-e-vafā meñ vo sun lo
zarā sā ek diyā hai jo TimTimātā huā
ye bād-o-bārāñ kī ik zarb sah na pā.egā
añdherā maut kī sūrat meñ phail jā.egā
so is se pahle ruke kārvān-e-she'r-o-suḳhan
so is se pahle ruke merī saañs aur dhaḌkan
qalam kī khaa.ī qasam maiñ ne āgahī likkhī
ḳhudā-e-vāhid-o-bartar kī bartarī likkhī
ye saarā khel tamāshā ye zindagī likkhī
ye be-sabātī likhī apnī bebasī likkhī
suḳhan-varī hī to 'bāsit' hai merā vasf-e-digar
so maiñ ne she'r kahā maiñ ne shā'irī likkhī
sukut-e-shab mein KHayalat ki rawani mein
jo lafz main ne likhe the nai kahani mein
main aise lafzon ko paband karne aaya hun
sutur-e-haq ka main tawan bharne aaya hun
suKHan-wari ki nazakat se hun nahin waqif
munafiqon ki siyasat se hun nahin waqif
jo mere dil mein hai us ko kalam karta hun
main apne 'ishq ko waliyon ke nam karta hun
ye kaise hoga ki main bheDiyon se Dar jaun
meri sarisht mein shamil hai laD ke mar jaun
main sina Thonk ke kahta hun karbalai hun
main hun payambar-e-haq amn ka main da’i hun
main manzaron ko badalne ki tab rakhta hun
main apni jholi mein chand aise KHwab rakhta hun
likhaariyon ka jo mela hai main ne parkha hai
qalam amanat-e-rab hai unhen KHabar hi nahin
inhen numaishi shohrat se itni raghbat hai
hai raat zulm ki aur wa’da-e-sahar hi nahin
junun-e-'ishq ka fuqdan kyon hua in mein
jo in ke man mein sadaqat nahin to kuchh bhi nahin
mera qalam to hai ehsas-e-dard se bojhal
nahin hai 'azmat-e-insan agar to kuchh bhi nahin
jo main ne dekha hai rah-e-wafa mein wo sun lo
zara sa ek diya hai jo TimTimata hua
ye baad-o-baran ki ek zarb sah na paega
andhera maut ki surat mein phail jaega
so is se pahle ruke karwan-e-she'r-o-suKHan
so is se pahle ruke meri sans aur dhaDkan
qalam ki khai qasam main ne aagahi likkhi
KHuda-e-wahid-o-bartar ki bartari likkhi
ye sara khel tamasha ye zindagi likkhi
ye be-sabaati likhi apni bebasi likkhi
suKHan-wari hi to 'basit' hai mera wasf-e-digar
so main ne she'r kaha main ne sha'iri likkhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.