main pachhta raha hun
musībat meñ ḳhud ko giraftār karke
javānī ko apnī ik āzār karke
banā kar tumheñ rāz-dāñ zindagī kā
valī raaz kā tum pe iz.hār karke
maiñ pachhtā rahā huuñ tumheñ pyaar karke
maiñ samjhā thā mohsin sitamgār nikle
vafādār samjhā jafā-kār nikle
samajhtā rahā tum ko gul se bhī behtar
magar gul ke parde meñ tum ḳhaar nikle
maiñ pachhtā rahā huuñ tumheñ pyaar karke
mirī zindagī zindagī ab nahīñ hai
masarrat nahīñ hai ḳhushī ab nahīñ hai
laboñ se mire chhīn lī muskurāhaT
muqaddar meñ jaise hañsī ab nahīñ hai
maiñ pachhtā rahā huuñ tumheñ pyaar karke
ummīdoñ kā markaz jahān-e-tamannā
sukūn-e-nazar dil kī taskīn-e-bejā
fareb-e-musalsal diye maiñ ne dil ko
ḳhilāf-e-tavaqqo.a magar tum ko paayā
maiñ pachhtā rahā huuñ tumheñ pyaar karke
mirī zindagī ke gulistāñ se khele
mirī yaas se mere armāñ se khele
khilaunā samajh kar mire dil ko toḌā
mirī ziist ke sāz-o-sāmāñ se khele
maiñ pachhtā rahā huuñ tumheñ pyaar karke
tamannāoñ kā ḳhuun tum ne bahāyā
ummīdoñ kā tum ne janāza nikālā
na kī koī bhūle se bhī ik ināyat
kiyā paas ik din na merī vafā kā
maiñ pachhtā rahā huuñ tumheñ pyaar karke
sadā tum baratte rahe ho taġhāful
jafāoñ kā ik din na TuuTā tasalsul
fareb-e-musalsal maiñ khātā rahā huuñ
hamesha mire dil ko dete rahe jul
maiñ pachhtā rahā huuñ tumheñ pyaar karke
ḳhushī ḳhaak meñ tum ne haa.e milā dī
hamesha jafāoñ se dād-e-vafā dī
maiñ afzal faqat naam kā rah gayā huuñ
yahāñ tak mirī tum ne hastī haTā dī
maiñ pachhtā rahā huuñ tumheñ pyaar karke
musibat mein KHud ko giraftar karke
jawani ko apni ek aazar karke
bana kar tumhein raaz-dan zindagi ka
wali raaz ka tum pe izhaar karke
main pachhta raha hun tumhein pyar karke
main samjha tha mohsin sitamgar nikle
wafadar samjha jafa-kar nikle
samajhta raha tum ko gul se bhi behtar
magar gul ke parde mein tum KHar nikle
main pachhta raha hun tumhein pyar karke
meri zindagi zindagi ab nahin hai
masarrat nahin hai KHushi ab nahin hai
labon se mere chhin li muskurahaT
muqaddar mein jaise hansi ab nahin hai
main pachhta raha hun tumhein pyar karke
ummidon ka markaz jahan-e-tamanna
sukun-e-nazar dil ki taskin-e-beja
fareb-e-musalsal diye main ne dil ko
KHilaf-e-tawaqqoa magar tum ko paya
main pachhta raha hun tumhein pyar karke
meri zindagi ke gulistan se khele
meri yas se mere arman se khele
khilauna samajh kar mere dil ko toDa
meri zist ke saz-o-saman se khele
main pachhta raha hun tumhein pyar karke
tamannaon ka KHun tum ne bahaya
ummidon ka tum ne janaza nikala
na ki koi bhule se bhi ek inayat
kiya pas ek din na meri wafa ka
main pachhta raha hun tumhein pyar karke
sada tum baratte rahe ho taghaful
jafaon ka ek din na TuTa tasalsul
fareb-e-musalsal main khata raha hun
hamesha mere dil ko dete rahe jul
main pachhta raha hun tumhein pyar karke
KHushi KHak mein tum ne hae mila di
hamesha jafaon se dad-e-wafa di
main afzal faqat nam ka rah gaya hun
yahan tak meri tum ne hasti haTa di
main pachhta raha hun tumhein pyar karke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.