main
raakh raakh badan le kar
dhuāñ dhuāñ shagun le kar
raat kī añdherī galiyoñ meñ
intizār sulgātā huuñ
maiñ us ke aur apne vāste
baar baar dohrātā huuñ
milātā huuñ baar baar number
milā kar kaaT Dāltā huuñ
maiñ us kī pinhā.iyoñ meñ muḳhil ab to
ho nahīñ saktā
aur apnī tanhā.iyoñ kī bābat
use kuchh kah nahī saktā
qatra qatra Tapaktī rahtī hai
raat kī chhat aur
badan kā lahū jaltā hai
uñgliyoñ meñ cigarette
sulagtā rahtā hai
aur
vaqt kī dahlīz par
dafn shuda maiñ
apne marqad par chādar chaḌhātā rahtā huuñ
ḳhud ko haqīqat meñ
bas jalātā rahtā huuñ
rakh rakh badan le kar
dhuan dhuan shagun le kar
raat ki andheri galiyon mein
intizar sulgata hun
main us ke aur apne waste
bar bar dohraata hun
milata hun bar bar number
mila kar kaT Dalta hun
main us ki pinhaiyon mein muKHil ab to
ho nahin sakta
aur apni tanhaiyon ki babat
use kuchh kah nahi sakta
qatra qatra Tapakti rahti hai
raat ki chhat aur
badan ka lahu jalta hai
ungliyon mein cigarette
sulagta rahta hai
aur
waqt ki dahliz par
dafn shuda main
apne marqad par chadar chaDhata rahta hun
KHud ko haqiqat mein
bas jalata rahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.