main titliyon ki tarah sare rang
maiñ titliyoñ kī tarah saare rang
tumhāre saath chhoḌe jā rahī huuñ
tum ne mujhe na chhūne kī qasam khaa.ī thī
magar rang ki havā meñ tairte haiñ
tumhāre saare vajūd par chhā.e jā rahe haiñ
tum mujrimoñ kī tarah sirf apne hāthoñ ko na dekho
rang-e-mohabbat meñ
aur mohabbat kī tarah na chhūte hue bhī
tumhāre haath is meñ rañge hue haiñ
main titliyon ki tarah sare rang
tumhaare sath chhoDe ja rahi hun
tum ne mujhe na chhune ki qasam khai thi
magar rang ki hawa mein tairte hain
tumhaare sare wajud par chhae ja rahe hain
tum mujrimon ki tarah sirf apne hathon ko na dekho
rang-e-mohabbat mein
aur mohabbat ki tarah na chhute hue bhi
tumhaare hath is mein range hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.