main to ek wajud-e-KHayal hun
maiñ to ik vajūd-e-ḳhayāl huuñ
mujhe jis tarah se bhī soch lo
maiñ yaqīñ bhī huuñ maiñ gumāñ bhī huuñ
maiñ yahāñ bhī huuñ maiñ vahāñ bhī huuñ
kabhī fikr meñ kabhī zikr meñ
kabhī josh meñ kabhī hosh meñ
kabhī ḳhud se ḳhud kī talāsh meñ
kabhī maiñ nahīñ kabhī jaañ nahīñ
ki maiñ mubtalā-e-junūn huuñ
maiñ ḳhudī meñ ḳhud kā sukūn huuñ
yahī ishq hai mirā kārvāñ
maiñ kidhar nahīñ maiñ kahāñ nahīñ
mirā yaar mujh meñ maiñ yaar meñ
maiñ huuñ be-ḳhudī ke ḳhumār meñ
mirā yaar mujh meñ hai raqs-zan
maiñ ravāñ ravāñ bhī ravāñ nahīñ
mirī rāhatoñ meñ tū jalva-gar
mirī vahshatoñ kā tū ham-safar
mirā hijr tū mirā vasl tū
mire ghar kā ek patā hai bas
jahāñ tū nahīñ maiñ vahāñ nahīñ
main to ek wajud-e-KHayal hun
mujhe jis tarah se bhi soch lo
main yaqin bhi hun main guman bhi hun
main yahan bhi hun main wahan bhi hun
kabhi fikr mein kabhi zikr mein
kabhi josh mein kabhi hosh mein
kabhi KHud se KHud ki talash mein
kabhi main nahin kabhi jaan nahin
ki main mubtala-e-junun hun
main KHudi mein KHud ka sukun hun
yahi ishq hai mera karwan
main kidhar nahin main kahan nahin
mera yar mujh mein main yar mein
main hun be-KHudi ke KHumar mein
mera yar mujh mein hai raqs-zan
main rawan rawan bhi rawan nahin
meri rahaton mein tu jalwa-gar
meri wahshaton ka tu ham-safar
mera hijr tu mera wasl tu
mere ghar ka ek pata hai bas
jahan tu nahin main wahan nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.