main tumhaari hatheliyon mein zinda rahunga
maiñ tumhārī hatheliyoñ par kuchh likhnā chāhtā huuñ
mujhe mālūm hai shaam kī galī se janāza guzregā
anjān murde us ko kandhā deñge
tumhārī āñkheñ dhueñ ke bādal haiñ jo ruuh nahīñ ban sakte
merī ruuh tumhāre jism meñ ug aa.egī
magar ruuh ke paude ko daraḳht banñe se pahle tumhārī ungliyāñ chaaT letī hai
bādal zamīn par aa kar phir uḌ gayā
chāñdnī zamīñ par pahle se maujūd thī
nīndeñ chāñdnī ke saath uḌ jā.egī
aur siñghār kartī laḌkiyāñ chiknī miTTī se chehroñ ko potñgī
daraḳhtoñ ke patte merā nauha gaate hue bādal ke saath uḌ jā.eñge
aur maiñ zamīn par mar ke bhī na mar sakūñgā
maiñ tumhārī hatheliyoñ meñ zinda rahūñgā
main tumhaari hatheliyon par kuchh likhna chahta hun
mujhe malum hai sham ki gali se janaza guzrega
anjaan murde us ko kandha denge
tumhaari aankhen dhuen ke baadal hain jo ruh nahin ban sakte
meri ruh tumhaare jism mein ug aaegi
magar ruh ke paude ko daraKHt banne se pahle tumhaari ungliyan chaT leti hai
baadal zamin par aa kar phir uD gaya
chandni zamin par pahle se maujud thi
ninden chandni ke sath uD jaegi
aur singhaar karti laDkiyan chikni miTTi se chehron ko potngi
daraKHton ke patte mera nauha gate hue baadal ke sath uD jaenge
aur main zamin par mar ke bhi na mar sakunga
main tumhaari hatheliyon mein zinda rahunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.