main use rok na paya
maiñ use rok na paayā
vo mujhe chhoḌ gayā
jhaḌtī sāñso kā use maiñ ne havāla bhī diyā
sard hotī huī nabzeñ bhī use pakḌā.īñ
us ne ḳhaak hote hue ḳhvāhisheñ merī dekhīñ
mere ḳhvāboñ kā nagar luTte hue bhī dekhā
merī āñkhoñ ke baraste hue bādal dekhe
mere gāloñ pe chamakte hue ashkoñ ke sitāre dekhe
ḳhushk hote hue hoñToñ ko taḌaptā dekhā
jaltī bujhtī huī aahoñ ne duhā.ī bhī dī
maiñ ne sau tarah se chāhā ki use rokūñ
magar
maiñ use rok na paayā
vo mujhe chhoḌ gayā
main use rok na paya
wo mujhe chhoD gaya
jhaDti sanso ka use main ne hawala bhi diya
sard hoti hui nabzen bhi use pakDain
us ne KHak hote hue KHwahishen meri dekhin
mere KHwabon ka nagar luTte hue bhi dekha
meri aankhon ke baraste hue baadal dekhe
mere galon pe chamakte hue ashkon ke sitare dekhe
KHushk hote hue honTon ko taDapta dekha
jalti bujhti hui aahon ne duhai bhi di
main ne sau tarah se chaha ki use rokun
magar
main use rok na paya
wo mujhe chhoD gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.