main zaKHmon ko phir se kuredun
bahut din se
vo yaad aayā nahīñ hai
bahut din se maiñ ne
udāsī ko apne ḳhayāloñ kī
TuuTī huī khiḌkiyoñ meñ sajāyā nahīñ hai
bahut din se
kamre meñ gahrī ghanī tīrgī hai
magar ab
badan ko na.e ḳhvāb aane lage haiñ
kitāboñ meñ sūkhe hue phuul phir muskurāne lage haiñ
magar in meñ ḳhushbū na.ī hai
mujhe yaad hai
tum ne jo phuul mujh ko diye the
tumhārī hī ḳhushbū thī un meñ
mujhe ḳhud hī hairat hai kaise
darīche se bāhar kā manzar badalne lagā hai
parinde daraḳhtoñ meñ phir chahchahāne lage haiñ
havā.eñ na.e giit gaane lagī haiñ
pahāḌoñ se girte hue ābshāroñ meñ phir se
dhanak muskurāne lagī hai
mujhe aise mausam meñ
yādoñ ke album ko chhūne se bhī ḳhauf aane lagā hai
ajab kashmakash hai
mire zehn-o-dil meñ
maiñ ab phir se
mahsūs karne lagā huuñ
ki zaḳhmoñ ko apne kuredūñ
ajab kyā
koī raushnī kī kiran
mujh ko andar kī sharmindagī se bachā le
bahut din se
wo yaad aaya nahin hai
bahut din se main ne
udasi ko apne KHayalon ki
TuTi hui khiDkiyon mein sajaya nahin hai
bahut din se
kamre mein gahri ghani tirgi hai
magar ab
badan ko nae KHwab aane lage hain
kitabon mein sukhe hue phul phir muskurane lage hain
magar in mein KHushbu nai hai
mujhe yaad hai
tum ne jo phul mujh ko diye the
tumhaari hi KHushbu thi un mein
mujhe KHud hi hairat hai kaise
dariche se bahar ka manzar badalne laga hai
parinde daraKHton mein phir chahchahane lage hain
hawaen nae git gane lagi hain
pahaDon se girte hue aabshaaron mein phir se
dhanak muskurane lagi hai
mujhe aise mausam mein
yaadon ke album ko chhune se bhi KHauf aane laga hai
ajab kashmakash hai
mere zehn-o-dil mein
main ab phir se
mahsus karne laga hun
ki zaKHmon ko apne kuredun
ajab kya
koi raushni ki kiran
mujh ko andar ki sharmindagi se bacha le
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.