main zinda hun
maiñ suntā huuñ so zinda huuñ
maiñ sūñghūñ huuñ so zinda huuñ
aur lams bhī zinda hai merā
hairānī ab tak baaqī hai
hai merī basīrat ab bhī javāñ
aur chakhne se parhez kahāñ
par sochnā mujh ko dūbhar hai
ki soch kī rāheñ mushkil haiñ
jo sochte haiñ kab jiite haiñ
yā zahr kā pyāla piite haiñ
yā sadme se mar jaate haiñ
maiñ zinda rahnā chāhtā huuñ
to ret meñ de kar sar apnā
maiñ suntā huuñ maiñ sūñghtā huuñ
ik lams-e-basīrat baaqī hai
maiñ suntā huuñ maiñ sūñghtā huuñ
maiñ zinda huuñ maiñ zinda huuñ
mujh ko nahīñ jiine kī parvā
maiñ zinda rahnā chāhtā huuñ
main sunta hun so zinda hun
main sunghun hun so zinda hun
aur lams bhi zinda hai mera
hairani ab tak baqi hai
hai meri basirat ab bhi jawan
aur chakhne se parhez kahan
par sochna mujh ko dubhar hai
ki soch ki rahen mushkil hain
jo sochte hain kab jite hain
ya zahr ka pyala pite hain
ya sadme se mar jate hain
main zinda rahna chahta hun
to ret mein de kar sar apna
main sunta hun main sunghta hun
ek lams-e-basirat baqi hai
main sunta hun main sunghta hun
main zinda hun main zinda hun
mujh ko nahin jine ki parwa
main zinda rahna chahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.