makan Khaali hai
Interesting Fact
(Asri Adab, Delhi)
vo jā chukā hai hamīñ ne use nikālā hai
ye kyā huā ki ik ik chiiz uTh ga.ī us kī
vo ek kone meñ rahtā thā par gayā jab se
har ek kone meñ rahtā dikhā.ī detā hai
chamak rahī haiñ dar-o-bām us kī tahrīreñ
Tahal rahī haiñ sadā.eñ yahāñ-vahāñ us kī
kahīñ pe naqsh hai us kī nigāh kā partav
khudī huī hai kahīñ us ke paañv kī aahaT
basā huā hai vo dīvār-o-dar ke siine meñ
bikhar chukā hai yahāñ ke har ek zarre meñ
ajiib tarah se ābād hai ye vīrānī
galā dabātā hai aaseb dam ulaTtā hai
ye vāhima hai
yahī āgahī to aa jaa.e
ḳhudā nahīñ na sahī aadmī to aa jaa.e
makān ḳhālī hai kab se koī to aa jaa.e
wo ja chuka hai hamin ne use nikala hai
ye kya hua ki ek ek chiz uTh gai us ki
wo ek kone mein rahta tha par gaya jab se
har ek kone mein rahta dikhai deta hai
chamak rahi hain dar-o-baam us ki tahriren
Tahal rahi hain sadaen yahan-wahan us ki
kahin pe naqsh hai us ki nigah ka partaw
khudi hui hai kahin us ke panw ki aahaT
basa hua hai wo diwar-o-dar ke sine mein
bikhar chuka hai yahan ke har ek zarre mein
ajib tarah se aabaad hai ye virani
gala dabaata hai aaseb dam ulaTta hai
ye wahima hai
yahi aagahi to aa jae
KHuda nahin na sahi aadmi to aa jae
makan KHali hai kab se koi to aa jae
- Book : 1971 ki Muntakhab Shayri (Pg. 37)
- Author : Kumar Pashi, Prem Gopal Mittal
- Publication : P.K. Publishers, New Delhi (1972)
- Edition : 1972
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.