maKHzan
safar merā muqaddar thā safar merā muqaddar hai
añdheroñ kī jabīñ par maiñ ne chhoḌe naqsh-e-pā apne
maiñ dariyā huuñ
janam mujh ko diyā hai barf-poshī sard rātoñ ne
likhā hai mere safhoñ par
ki jab maiñ qatra qatra joḌ kar mauj-e-yaqīñ kā pairahan pahnūñ
to sab anjān samteñ merī muTThī meñ simaT aa.eñ
jo parbat baap hai merā
taras jaa.e mujhe bāhoñ meñ bharne ko
ye ūñchā āsmāñ jhuk kar kabhī mere qadam chūme
safar merā muqaddar hai
safar merā azal merā abad merā yaqīñ bhī hai
mire qadmoñ kā ġham karb-e-zamīñ bhī hai
samundar rāsta merā
musalsal mujh ko chalnā hai
musalsal barf kī sūrat pighalnā hai
agar maiñ baiTh jā.ūñ raah meñ thak kar
to ye pyāse ujāle mujh ko pī jaa.eñ
agar maiñ dasht ban jaatā
agar sahrā kī bāñhoñ meñ bikhar jaatā
samundar kaise kahlātā
havā.eñ sochtīñ mujh ko
agar sho.ale harārat mujh meñ bhar dete
maiñ dariyā huuñ safar merā muqaddar hai
mujhe ruknā nahīñ hai sirf chalnā hai
chalo achchhā huā tum ne mujhe aañsū banā Daalā
ki maiñ ne aaj ḳhud ko ek aañsū kī tarah bahte
tumhārī Dūbtī āñkhoñ meñ dekhā hai
maiñ dariyā huuñ
yahī aañsū virāsat meñ milā mujh ko
mujhe lagtā hai kuchh aisā
maiñ parbat se nahīñ shāyad samundar se hī niklā huuñ
safar mera muqaddar tha safar mera muqaddar hai
andheron ki jabin par main ne chhoDe naqsh-e-pa apne
main dariya hun
janam mujh ko diya hai barf-poshi sard raaton ne
likha hai mere safhon par
ki jab main qatra qatra joD kar mauj-e-yaqin ka pairahan pahnun
to sab anjaan samten meri muTThi mein simaT aaen
jo parbat bap hai mera
taras jae mujhe bahon mein bharne ko
ye uncha aasman jhuk kar kabhi mere qadam chume
safar mera muqaddar hai
safar mera azal mera abad mera yaqin bhi hai
mere qadmon ka gham karb-e-zamin bhi hai
samundar rasta mera
musalsal mujh ko chalna hai
musalsal barf ki surat pighalna hai
agar main baiTh jaun rah mein thak kar
to ye pyase ujale mujh ko pi jaen
agar main dasht ban jata
agar sahra ki banhon mein bikhar jata
samundar kaise kahlata
hawaen sochtin mujh ko
agar shoale hararat mujh mein bhar dete
main dariya hun safar mera muqaddar hai
mujhe rukna nahin hai sirf chalna hai
chalo achchha hua tum ne mujhe aansu bana Dala
ki main ne aaj KHud ko ek aansu ki tarah bahte
tumhaari Dubti aankhon mein dekha hai
main dariya hun
yahi aansu wirasat mein mila mujh ko
mujhe lagta hai kuchh aisa
main parbat se nahin shayad samundar se hi nikla hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.