mallah
ye gaate zalzale ye nāchte tūfān ke dhāre
havā kī niyyatoñ se be-ḳhabar mallāh bechāre
vo tūfānoñ ke hal chalne lage sayyāl khetī meñ
vo kashtī aa ke Duubī gauharīñ qatroñ kī retī meñ
vo TūTīñ mauj kī shaffāf dīvāreñ safīnoñ par
vo phir lahreñ ubhar aa.iiñ irādoñ kī jabīnoñ par
vo Takrāne lagī āvāz niile āsmānoñ se
vo ḳhatt-e-rahguzar par jal uThīñ sham.eñ tarānoñ se
havā.eñ tham nahīñ saktīñ talātum ruk nahīñ sakte
safīne haiñ ki tūfāñ ke thapeḌe khaa.e jaate haiñ
magar mallāh giit apne barābar ga.e jaate haiñ
haiñ kitne ġham ki jin kī mai surūr-añgez hotī hai
haiñ kitne giit jin kī lau havā se tez hotī hai
khiñchā ho jin kā ḳhatt-e-rahguzar tūfāñ ke dhāroñ par
baḌī mushkil se un ko niiñd aatī hai kināroñ par
ye gate zalzale ye nachte tufan ke dhaare
hawa ki niyyaton se be-KHabar mallah bechaare
wo tufanon ke hal chalne lage sayyal kheti mein
wo kashti aa ke Dubi gauharin qatron ki reti mein
wo TuTin mauj ki shaffaf diwaren safinon par
wo phir lahren ubhar aain iradon ki jabinon par
wo Takrane lagi aawaz nile aasmanon se
wo KHatt-e-rahguzar par jal uThin shamen taranon se
hawaen tham nahin saktin talatum ruk nahin sakte
safine hain ki tufan ke thapeDe khae jate hain
magar mallah git apne barabar gae jate hain
hain kitne gham ki jin ki mai surur-angez hoti hai
hain kitne git jin ki lau hawa se tez hoti hai
khincha ho jin ka KHatt-e-rahguzar tufan ke dhaaron par
baDi mushkil se un ko nind aati hai kinaron par
- Book : Jadeed Shora-e-Urdu (Pg. 893)
- Author : Dr. Abdul Wahid
- Publication : Feroz sons Printers Publishers and Stationers
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.