mamnua soch
maiñ kaun huuñ
shāyad border par khaḌā vo sipāhī
jo apnī jaan kī parvā kiye baġhair
tiis hazār tanḳhvāh ke liye bahādur banā huā hai
yā phir vo tavā.if jo apnī
taklīf aur 'izzat kā saudā kar ke
paisoñ se 'ishq kar baiThī hai
yā vo naujavān jise har raah
chaltī aurat se 'ishq ho jaatā hai
aur aañkh laḌne se le kar
bistar par sone tak ke
safar ke baa'd vo 'ishq apne
iḳhtitām ko pahuñch jaatā hai
yā maiñ vo huuñ jinheñ aurat kī
bāhar niklī huī chhātiyoñ
se mohabbat ho ga.ī hai
jin kī soch aur nazar us
chhātī se haT nahīñ rahī
yā maiñ vo huuñ jis kī
mahbūba raat ke do baje
garm bistar par us ke
intizār meñ baiThī hai
shāyad maiñ un meñ se
koī bhī nahīñ
maiñ vo huuñ jo raat ke do baje
vīrān kamre meñ
nazmoñ se bāteñ kar rahā huuñ
khiḌkī mujh par hañs rahī hai aur
dīvāreñ ḳhāmoshī se mujhe dekh rahī haiñ
qalam mere alfāz ko bosa de rahā hai
main kaun hun
shayad border par khaDa wo sipahi
jo apni jaan ki parwa kiye baghair
tis hazar tanKHwah ke liye bahadur bana hua hai
ya phir wo tawaif jo apni
taklif aur 'izzat ka sauda kar ke
paison se 'ishq kar baiThi hai
ya wo naujawan jise har rah
chalti aurat se 'ishq ho jata hai
aur aankh laDne se le kar
bistar par sone tak ke
safar ke ba'd wo 'ishq apne
iKHtitam ko pahunch jata hai
ya main wo hun jinhen aurat ki
bahar nikli hui chhatiyon
se mohabbat ho gai hai
jin ki soch aur nazar us
chhati se haT nahin rahi
ya main wo hun jis ki
mahbuba raat ke do baje
garm bistar par us ke
intizar mein baiThi hai
shayad main un mein se
koi bhi nahin
main wo hun jo raat ke do baje
viran kamre mein
nazmon se baaten kar raha hun
khiDki mujh par hans rahi hai aur
diwaren KHamoshi se mujhe dekh rahi hain
qalam mere alfaz ko bosa de raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.