mamta aur jang
maiñ ne janm diyā thā
tum ko
armānoñ ke jhūle
kitne
maiñ ne jhulā.e
apne ang se
pyaas bujhā.ī
aur jīvan kā
daan diyā
kulsūm aur hiir
majnūñ aur pannūñ
saare naam dhare the maiñ ne
tum ne badal Daale
ḳhauf-o-hirās kā
naach dikhāne
rākhoñ ke Dher lagāne
angoñ ke TukḌe bikhrāne
mamtāoñ ko aag lagā.ī
duudh kī nadiyāñ ḳhuuñ meñ badlīñ
aur
ab amn kī bāteñ karte ho
us kā kyā hogā
jo guzar gayā hai
mere bachchoñ
maiñ ne tum ko janm diyā thā
aur naam dhare the
pyāre pyāre
lauT ke aao
un nāmoñ meñ
pyaar karo
aur jiine do
main ne janm diya tha
tum ko
armanon ke jhule
kitne
main ne jhulae
apne ang se
pyas bujhai
aur jiwan ka
dan diya
kulsum aur hir
majnun aur pannun
sare nam dhare the main ne
tum ne badal Dale
KHauf-o-hiras ka
nach dikhane
rakhon ke Dher lagane
angon ke TukDe bikhrane
mamtaon ko aag lagai
dudh ki nadiyan KHun mein badlin
aur
ab amn ki baaten karte ho
us ka kya hoga
jo guzar gaya hai
mere bachchon
main ne tum ko janm diya tha
aur nam dhare the
pyare pyare
lauT ke aao
un namon mein
pyar karo
aur jine do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.