mangal talab
haa.e vo tālāb haañ jis ke kināre par kabhī
chāñdnī rātoñ meñ bāñdhā tū ne ahd-e-dostī
ab bhī yaad aatī haiñ vo rangīñ mulāqāteñ mujhe
ḳhuun rulvātī haiñ ab bhī chāñdnī rāteñ mujhe
un kināroñ par abhī tak haiñ kuchh aise bhī nishāñ
jin ke sīnoñ meñ nihāñ hai ik mohabbat kā jahāñ
yaad haiñ ab tak mujhe ġham kī latāfat ke maze
vo sharābī muskurāhaT vo mohabbat ke maze
baiTh kar aksar ghanī shāḳhoñ kī ThanDī chhāñv meñ
maiñ ne pahnā.e haiñ moze tere nāzuk paañv meñ
husn kī mai pī ke har shai mast thī maḳhmūr thī
ishq ke naġhmoñ se ye saarī fazā māmūr thī
ai mire mahbūb sach kahnā tujhe bhī yaad hai
aah vo vaadī jo ab barsoñ se ġhair-ābād hai
hae wo talab han jis ke kinare par kabhi
chandni raaton mein bandha tu ne ahd-e-dosti
ab bhi yaad aati hain wo rangin mulaqaten mujhe
KHun rulwati hain ab bhi chandni raaten mujhe
un kinaron par abhi tak hain kuchh aise bhi nishan
jin ke sinon mein nihan hai ek mohabbat ka jahan
yaad hain ab tak mujhe gham ki latafat ke maze
wo sharabi muskurahaT wo mohabbat ke maze
baiTh kar aksar ghani shaKHon ki ThanDi chhanw mein
main ne pahnae hain moze tere nazuk panw mein
husn ki mai pi ke har shai mast thi maKHmur thi
ishq ke naghmon se ye sari faza mamur thi
ai mere mahbub sach kahna tujhe bhi yaad hai
aah wo wadi jo ab barson se ghair-abaad hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.