manon ret tale
maiñ jo soī huuñ manoñ ret tale
kaash tū jaan sake shaam Dhale
merī āñkheñ tirī aahaT pe lagī rahtī haiñ
merā āñchal merī tarsī huī be-kal hastī
merī mamtā tirī rāhoñ meñ bichhī rahtī hai
maiñ bahut ḳhush huuñ tujhe dekh ke ai dil ke qarār
tere chehre kī chamak aaj bhī tābinda hai
tere lahje meñ mirā aks abhī zinda hai
maiñ jo soī huuñ manoñ ret tale
aaj tū ne jo mujhe phūloñ kī chādar dī hai
merī tarsī huī duniyā meñ bahār aa.ī hai
shaam mahkī hai mo.attar sī ghaTā chhā.ī hai
kaash tū jaan sake ai mire dil ke TukḌe
maiñ jo soī huuñ manoñ ret tale
tujh pe ab qarz hai in zaḳhmoñ ko sahlāne kā
merī nākām umangoñ kā akelā āñgan
tujh se bahlegā nahīñ aur koī aane kā
merī āñkhoñ ke diye merī vafāoñ kā sahar
tujh ko har baar mire paas liye aa.egā
saarī duniyā tujhe jānegī mire hone se
merā partav tirī hastī meñ utar jā.egā
kaash tū jaan bhī le ai mire dil ke TukḌe
maiñ jo soī huuñ manoñ ret tale
main jo soi hun manon ret tale
kash tu jaan sake sham Dhale
meri aankhen teri aahaT pe lagi rahti hain
mera aanchal meri tarsi hui be-kal hasti
meri mamta teri rahon mein bichhi rahti hai
main bahut KHush hun tujhe dekh ke ai dil ke qarar
tere chehre ki chamak aaj bhi tabinda hai
tere lahje mein mera aks abhi zinda hai
main jo soi hun manon ret tale
aaj tu ne jo mujhe phulon ki chadar di hai
meri tarsi hui duniya mein bahaar aai hai
sham mahki hai moattar si ghaTa chhai hai
kash tu jaan sake ai mere dil ke TukDe
main jo soi hun manon ret tale
tujh pe ab qarz hai in zaKHmon ko sahlane ka
meri nakaam umangon ka akela aangan
tujh se bahlega nahin aur koi aane ka
meri aankhon ke diye meri wafaon ka sahar
tujh ko har bar mere pas liye aaega
sari duniya tujhe jaanegi mere hone se
mera partaw teri hasti mein utar jaega
kash tu jaan bhi le ai mere dil ke TukDe
main jo soi hun manon ret tale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.