manzar aur pas-manzar tum ho
sāhil par ik naam likhā thā
lekin maiñ ye bhuul gayā thā
dariyā se ik lahr uThī to naqsh ko dhuñdlā kar jā.egī
ret āñkhoñ meñ bhar jā.egī
ik patthar pe kanda karke naam tumhārā soch rahā thā
jo patthar pe likh jaate haiñ kyā vo chhoḌ diye jaate haiñ
patthar toḌ diye jaate haiñ
aur phir maiñ ne peḌ pe likh ke naam tumhārā ye sochā thā
ab ye naam ābād rahegā sar-sabz-o-shādāb rahegā
lekin maiñ ye bhuul gayā thā
peḌ girāyā jā saktā hai harf miTāyā jā saktā hai
dekheñ duniyā vaale kab tak jazboñ ko tasḳhīr kareñge
ham bhī ab ke naam tumhārā is dil par tahrīr kareñge
manzar manzar hairānī hai pas-manzar ābād hai tum se
jo kal tak vīrān paḌā thā
vo ghar ab ābād hai tum se
sahil par ek nam likha tha
lekin main ye bhul gaya tha
dariya se ek lahr uThi to naqsh ko dhundla kar jaegi
ret aankhon mein bhar jaegi
ek patthar pe kanda karke nam tumhaara soch raha tha
jo patthar pe likh jate hain kya wo chhoD diye jate hain
patthar toD diye jate hain
aur phir main ne peD pe likh ke nam tumhaara ye socha tha
ab ye nam aabaad rahega sar-sabz-o-shadab rahega
lekin main ye bhul gaya tha
peD giraya ja sakta hai harf miTaya ja sakta hai
dekhen duniya wale kab tak jazbon ko tasKHir karenge
hum bhi ab ke nam tumhaara is dil par tahrir karenge
manzar manzar hairani hai pas-manzar aabaad hai tum se
jo kal tak viran paDa tha
wo ghar ab aabaad hai tum se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.