manzar ko kya karun
tanhā hasīn hayāt ke sāġhar ko kyā karūñ
sāthī nahīñ to bāda-e-kausar ko kyā karūñ
har husn par gumāñ hai tujhe naqsh-e-yār kā
ai ishq tere vahm-e-sarāsar ko kyā karūñ
raushan the jis ke nuur se baam aur āstāñ
vo jalva-gar nahīñ hai to us ghar ko kyā karūñ
jis meñ vo dilkashī hai na vo shān-e-dilbarī
aise hasīn se bhī hasīñ-tar ko kyā karūñ
jis kī jhalak pe laakh sitāroñ ko rashk thā
vo lau nahīñ to mehr-e-munavvar ko kyā karūñ
ai zarf-e-dīd tū hī batā bazm-e-tūr se
jalva jo uTh gayā hai to manzar ko kyā karūñ
us kī taraf se to na thī kotāhī-e-karam
'hindī' maiñ ḳhud hī apne muqaddar ko kyā karūñ
tanha hasin hayat ke saghar ko kya karun
sathi nahin to baada-e-kausar ko kya karun
har husn par guman hai tujhe naqsh-e-yar ka
ai ishq tere wahm-e-sarasar ko kya karun
raushan the jis ke nur se baam aur aastan
wo jalwa-gar nahin hai to us ghar ko kya karun
jis mein wo dilkashi hai na wo shan-e-dilbari
aise hasin se bhi hasin-tar ko kya karun
jis ki jhalak pe lakh sitaron ko rashk tha
wo lau nahin to mehr-e-munawwar ko kya karun
ai zarf-e-did tu hi bata bazm-e-tur se
jalwa jo uTh gaya hai to manzar ko kya karun
us ki taraf se to na thi kotahi-e-karam
'hindi' main KHud hi apne muqaddar ko kya karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.