manzar se bichhaDne ka karb
ham apne manzar se bichhḌe
ā.ankhoñ meñ us kā aks liye bhaTak rahe haiñ
koī na.ī rut hameñ panāh dene lagtī hai
to achānak...
be-duā lamhoñ ko kuchh nayā sūjhtā hai
aur saarā manzar badal jaatā hai
jahāñ pur-asrār āhaTeñ
hameñ ḳhauf ke jañgal meñ chhoḌ aatī haiñ
be-manzarī roz ham se shikva kartī hai
sub.h jāgte haiñ
to hamāre chehroñ par shaam hone lagtī hai
ajnabiyyat kī dhund hamārā saaya chhīn chukī hai
hamārī apnī zaat meñ fāsle itne gahre ho ga.e
ki ham ḳhud apnī hī dastaras se bāhar ho chuke
ham is manzar meñ nahīñ dafnā.e jā sakte
jis meñ ham ne janam liyā thā
ham ek muddat se
ā.ankhoñ kī gaThḌī meñ apne ḳhvāb bāñdhe
vaqt kī dahlīz par khaḌe chīḳh rahe haiñ
lekin hamārī āvāz kisī aur manzar meñ rah ga.ī hai
be-saut pukār par āsmān ashk-bār hotā hai
to hamārī fasloñ meñ bhuuk chupke se ghus jaatī hai
dasht ne hamāre shādāb jismoñ se paanī nichoḌ kar
un meñ pyaas bhar dī hai
idrāk kī sarhadoñ ke us paar
apne gum-shuda manzar ko ham ne kabhī nahīñ khojā
hameñ ḳhabar hai...
ham sab ne mil kar apnā manzar ḳhud gañvāyā hai
aur ab ham...
apne qaht-zada badan meñ chhup kar baiTh ga.e haiñ
hum apne manzar se bichhDe
aaankhon mein us ka aks liye bhaTak rahe hain
koi nai rut hamein panah dene lagti hai
to achanak
be-dua lamhon ko kuchh naya sujhta hai
aur sara manzar badal jata hai
jahan pur-asrar aahaTen
hamein KHauf ke jangal mein chhoD aati hain
be-manzari roz hum se shikwa karti hai
subh jagte hain
to hamare chehron par sham hone lagti hai
ajnabiyyat ki dhund hamara saya chhin chuki hai
hamari apni zat mein fasle itne gahre ho gae
ki hum KHud apni hi dastaras se bahar ho chuke
hum is manzar mein nahin dafnae ja sakte
jis mein hum ne janam liya tha
hum ek muddat se
aaankhon ki gaThDi mein apne KHwab bandhe
waqt ki dahliz par khaDe chiKH rahe hain
lekin hamari aawaz kisi aur manzar mein rah gai hai
be-saut pukar par aasman ashk-bar hota hai
to hamari faslon mein bhuk chupke se ghus jati hai
dasht ne hamare shadab jismon se pani nichoD kar
un mein pyas bhar di hai
idrak ki sarhadon ke us par
apne gum-shuda manzar ko hum ne kabhi nahin khoja
hamein KHabar hai
hum sab ne mil kar apna manzar KHud ganwaya hai
aur ab hum
apne qaht-zada badan mein chhup kar baiTh gae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.