manzar yun tha
shaam ruḳhsat ho chukī thī
ehsās ke talvoñ ko sahlā kar
kitnā sukūn milā thā
tab nañge paañv
ghaas par chalne ko baḌā dil chāhā
ki achānak
raat aa.ī
siyāh kafan meñ apnā muñh chhupā.e
aur
be-tartīb shab-o-roz ke darmiyān
Tañgī huī alganī par
majbūr zindagī
apne kartab dikhlāne lagī
aur raat
jis tarah
āsmān par āvāra bādaloñ ke TukḌe
chāñdnī se aThkheliyāñ karte hue
sharminda ho jaate haiñ
raat usī tarah
mere jism ke nasheb-o-farāz se guzartī huī
sharminda ho ga.ī
shaam ruḳhsat ho chukī thī
sham ruKHsat ho chuki thi
ehsas ke talwon ko sahla kar
kitna sukun mila tha
tab nange panw
ghas par chalne ko baDa dil chaha
ki achanak
raat aai
siyah kafan mein apna munh chhupae
aur
be-tartib shab-o-roz ke darmiyan
Tangi hui algani par
majbur zindagi
apne kartab dikhlane lagi
aur raat
jis tarah
aasman par aawara baadalon ke TukDe
chandni se aThkheliyan karte hue
sharminda ho jate hain
raat usi tarah
mere jism ke nasheb-o-faraaz se guzarti hui
sharminda ho gai
sham ruKHsat ho chuki thi
- Book : Aatish Fishan (Pg. 46)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.