''rishte, chāhat, shohrat, daulat
tere liye sab be-māya
taarā hai kisī kī āñkhoñ kā tū
aur na kisī kā māñ-jāyā
hai dost na koī ham-sāya
maidānoñ se āñkhoñ kī guzartā ik saaya
maqsūd-ali! maqsūd-alī!
dīvāna hai tū ham ko batā
yā koī valī?
''vo roz-e-azal kā dohrāyā
hai ik saaya
jis kī ik duniyā hai apnī
dahshat ke mehvar par gardāñ
vo duniyā roz o shab meñ jo taqsīm nahīñ
ḳhānoñ meñ baTī taqvīm nahīñ
jo raaz haiñ ham se maḳhfī
us par zāhir haiñ
vo qalb-e-hastī ke andar
ham bāhar haiñ
mādūm hai vo maujūd ho tum
vo lā-had hai mahdūd ho tum
hastī ke aalam se baalā
hargiz vo tum se baat nahīñ karne vaalā
vo sannāTe kā harkāra hai, hoñT sile
hai duur kahīñ, ham sab se pare
kohre meñ ghirī āvāz pe apne kaan dhare
(yā ġhār-e-qadīmī kī sañgīñ tārīkī meñ
bahr-e-āġhāz ke paanī kā
pur-haul taqātur suntā hai
aur jhuk kar bahte paanī se
tāroñ ke zarre chuntā (hai
vo roz-e-azal kā dohrāyā
ik saayā hai
jo darham-barham kar dene duniyā ko hamārī aayā hai''
rishte, chahat, shohrat, daulat
tere liye sab be-maya
tara hai kisi ki aankhon ka tu
aur na kisi ka man-jaya
hai dost na koi ham-saya
maidanon se aankhon ki guzarta ek saya
maqsud-ali! maqsud-ali!
diwana hai tu hum ko bata
ya koi wali?
wo roz-e-azal ka dohraya
hai ek saya
jis ki ek duniya hai apni
dahshat ke mehwar par gardan
wo duniya roz o shab mein jo taqsim nahin
KHanon mein baTi taqwim nahin
jo raaz hain hum se maKHfi
us par zahir hain
wo qalb-e-hasti ke andar
hum bahar hain
madum hai wo maujud ho tum
wo la-had hai mahdud ho tum
hasti ke aalam se baala
hargiz wo tum se baat nahin karne wala
wo sannaTe ka harkara hai, honT sile
hai dur kahin, hum sab se pare
kohre mein ghiri aawaz pe apne kan dhare
(ya ghaar-e-qadimi ki sangin tariki mein
bahr-e-aghaz ke pani ka
pur-haul taqatur sunta hai
aur jhuk kar bahte pani se
taron ke zarre chunta (hai
wo roz-e-azal ka dohraya
ek saya hai
jo darham-barham kar dene duniya ko hamari aaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.