mar ke wo zindon mein shamil ho gaya
mar ke vo zindoñ meñ shāmil ho gayā
muddatoñ se saarā ghar bechain thā
raat din kī vo aziyyat
shaam hotī thī to Dar jaate the ham
aisī chīḳheñ jo diloñ ko bhed deñ
har ghaḌī peshāb or nāpāk jism
giilā bistar
raat ke pichhle pahar meñ
kapḌe pahnānā us aise jism ko
jo baiTh bhī saktā na ho
aur us par jurm kā ehsās
us rishte se
jo ham sab kā thā us jism se
aaj jab ḳhālī hai vo konā to sach-much lag rahā hai
mar ke vo zindoñ meñ shāmil ho gayā
aur us kī maut se
ham sab bhī shāyad
mar ke wo zindon mein shamil ho gaya
muddaton se sara ghar bechain tha
raat din ki wo aziyyat
sham hoti thi to Dar jate the hum
aisi chiKHen jo dilon ko bhed den
har ghaDi peshab or napak jism
gila bistar
raat ke pichhle pahar mein
kapDe pahnana us aise jism ko
jo baiTh bhi sakta na ho
aur us par jurm ka ehsas
us rishte se
jo hum sab ka tha us jism se
aaj jab KHali hai wo kona to sach-much lag raha hai
mar ke wo zindon mein shamil ho gaya
aur us ki maut se
hum sab bhi shayad
- Book : Dukh Naye Kapde Badal Kar (Pg. 107)
- Author : Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.