marsiya-e-tagore
tagore jin guloñ meñ hai ab shumār terā
muddat se un guloñ ko thā intizār terā
lekin payām-e-furqat afsos jab se aaya
ik ālam-e-tafakkur hindostāñ pe chhāyā
is ke dil-e-hazīñ kā thā tū habīb baaqī
ik tū hī rah gayā thā is mai-kade kā saaqī
TuuTī sī ek miinā ab tujh ko ro rahī hai
ro ro ke muñh vo apnā ashkoñ se dho rahī hai
mulk-e-suḳhan kā tujh sā farmāñ-ravā na dekhā
duniyā-e-shā.irī kā tujh sā ḳhudā na dekhā
DhūñDā kareñgī tujh ko hasrat bharī nigāheñ
jā.eñgī saath tere is desh kī duā.eñ
kuchh bebasī kā aalam gar ai ḳhudā na hotā
tagore is tarah se ham se judā na hotā
tagore jin gulon mein hai ab shumar tera
muddat se un gulon ko tha intizar tera
lekin payam-e-furqat afsos jab se aaya
ek aalam-e-tafakkur hindostan pe chhaya
is ke dil-e-hazin ka tha tu habib baqi
ek tu hi rah gaya tha is mai-kade ka saqi
TuTi si ek mina ab tujh ko ro rahi hai
ro ro ke munh wo apna ashkon se dho rahi hai
mulk-e-suKHan ka tujh sa farman-rawa na dekha
duniya-e-shairi ka tujh sa KHuda na dekha
DhunDa karengi tujh ko hasrat bhari nigahen
jaengi sath tere is desh ki duaen
kuchh bebasi ka aalam gar ai KHuda na hota
tagore is tarah se hum se juda na hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.