marsiya
vo ik peḌ jo is 'ilāqe kī sab se baḌī shaḳhsiyat thā
apne chāroñ taraf ke makānoñ ko jis ne
thaam kar unglī chalnā sikhāyā
use sab ḳhabar thī
ki kis ghar meñ kis kī laḌā.ī huī hai
magar chup rahā
aur har ghar ke har raaz ko us ne sab se chhupāyā
kachchī dīvāreñ aksar
koTharī kī shikāyat jo kartī thiiñ us se
to un ko biThā kar
pyaar se muskurā kar
zarā DāñTtā thā
sadr darvāzoñ kā
saare dālānoñ se fāsla thā magar
chañd jhoñkoñ se vo fāsla pāTtā thā
vahī peḌ ab sar jhukā.e khaḌā hai
kachchī dīvāroñ ke chhoTe chhoTe makāñ
pakkī īñToñ ke do-manzile ho ga.e haiñ
peḌ ḳhāmosh hai
vo makāñ us ke hisse kī dhūpoñ ko ghere khaḌe haiñ
wo ek peD jo is 'ilaqe ki sab se baDi shaKHsiyat tha
apne chaaron taraf ke makanon ko jis ne
tham kar ungli chalna sikhaya
use sab KHabar thi
ki kis ghar mein kis ki laDai hui hai
magar chup raha
aur har ghar ke har raaz ko us ne sab se chhupaya
kachchi diwaren aksar
koThari ki shikayat jo karti thin us se
to un ko biTha kar
pyar se muskura kar
zara DanTta tha
sadr darwazon ka
sare dalanon se fasla tha magar
chand jhonkon se wo fasla paTta tha
wahi peD ab sar jhukae khaDa hai
kachchi diwaron ke chhoTe chhoTe makan
pakki inTon ke do-manzile ho gae hain
peD KHamosh hai
wo makan us ke hisse ki dhupon ko ghere khaDe hain
- Book : Subh Bakhair Zindagi (Pg. 138)
- Author : Ameer Imam
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.