marzi
zamīñ par shor barpā thā
yahāñ sikka hamārā hai
kahīñ fir.aun kī marzī
kahīñ namrūd hākim hai
kahīñ shaddād kī jannat
kahīñ qārūn kahtā hai
yahāñ hadd-e-nazar tak jis ko bhī jo kuchh nazar aa.e
faqat mālik haiñ ham is ke
hamārī bārgāhoñ meñ
sar-e-taslīm ḳham kar do
achānak
zalzala aaya
zamīñ kī jumbihsoñ meñ sab tah-o-bālā nazar aa.e
sukārā hī sukārā kā ajab māhaul barpā thā
falak se tab sadā gūñjī
mirī duniyā mirī marzī
zamin par shor barpa tha
yahan sikka hamara hai
kahin firaun ki marzi
kahin namrud hakim hai
kahin shaddad ki jannat
kahin qarun kahta hai
yahan hadd-e-nazar tak jis ko bhi jo kuchh nazar aae
faqat malik hain hum is ke
hamari bargahon mein
sar-e-taslim KHam kar do
achanak
zalzala aaya
zamin ki jumbihson mein sab tah-o-baala nazar aae
sukara hi sukara ka ajab mahaul barpa tha
falak se tab sada gunji
meri duniya meri marzi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.