mashwara
mashvara
achchhe aur bure kī jab tak
logoñ meñ pahchān aa.egī
kāġhaz ke peḌoñ ko miTTī khā jā.egī
aur siyāhī
āsmān kī āñkhoñ meñ jam jā.egī
bijlī ke khamboñ par bulb jale bhī hoñ to kyā hāsil
lafzoñ se āñkhoñ ke rishte TuuT chuke
pyāre shā.ir
literature ke andhe ġhaar se bāhar aa
mausīqī ko sauñp de apne saare dukh
hoñToñ aur kānoñ kī miTTī giilī hai
mashwara
achchhe aur bure ki jab tak
logon mein pahchan aaegi
kaghaz ke peDon ko miTTi kha jaegi
aur siyahi
aasman ki aankhon mein jam jaegi
bijli ke khambon par bulb jale bhi hon to kya hasil
lafzon se aankhon ke rishte TuT chuke
pyare shair
literature ke andhe ghaar se bahar aa
mausiqi ko saunp de apne sare dukh
honTon aur kanon ki miTTi gili hai
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 134)
- Author :Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.