mashwara
mujhe ye Dar hai kisī āftāb kī garmī
tirī nazar ke hazār ā.inoñ ko toḌ na de
mujhe ye vahm kisī māhtāb kī ThanDak
lahū se garmī-e-fikr-o-amal nichoḌ na le
tū apnī zaat se ḳhud chashma-e-adā-o-sadā
tujhe jahāñ kī havāoñ ke ruḳh se kyā nisbat
tū apne-āp hī ḳhud anjuman hai ḳhud hī charāġh
hujūm-e-halqa-ba-goshāñ se tujh ko kyā nisbat
ye rāsta nahīñ vo jis pe tū Thahar jaa.e
yahāñ se jald guzar aks-e-mehr-o-mah kī tarah
yahāñ pe koī rukā hai to ḳhār-e-rah kī misāl
yahāñ pe koī rukā hai to gard-e-rah kī tarah
jo āstāñ ho use sañg-e-dar kā ġham kaisā
jo ḳhud safar ho use rahguzar kā ġham kaisā
jo ḳhud yaqīñ ho use vahm-e-intizām se kyā
jo ḳhud hī mai ho use mai-kade ke naam se kyā
mujhe ye Dar hai kisi aaftab ki garmi
teri nazar ke hazar aainon ko toD na de
mujhe ye wahm kisi mahtab ki ThanDak
lahu se garmi-e-fikr-o-amal nichoD na le
tu apni zat se KHud chashma-e-ada-o-sada
tujhe jahan ki hawaon ke ruKH se kya nisbat
tu apne-ap hi KHud anjuman hai KHud hi charagh
hujum-e-halqa-ba-goshan se tujh ko kya nisbat
ye rasta nahin wo jis pe tu Thahar jae
yahan se jald guzar aks-e-mehr-o-mah ki tarah
yahan pe koi ruka hai to KHar-e-rah ki misal
yahan pe koi ruka hai to gard-e-rah ki tarah
jo aastan ho use sang-e-dar ka gham kaisa
jo KHud safar ho use rahguzar ka gham kaisa
jo KHud yaqin ho use wahm-e-intizam se kya
jo KHud hi mai ho use mai-kade ke nam se kya
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 200)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.