mausam
asīr-e-ārzū hujūm-e-be-amāñ
sharāb roz-o-shab kī ātish-ravāñ meñ
barhamī ke qahqahoñ kī bāzgasht
ab hamāre darmiyāñ
ajiib ḳhvāhishoñ ke biij bo rahī hai
mere vāste jo ajnabī hai
us ko paas se guzartā dekh luuñ to us kī raushnī
ko noch luuñ
jo us ke ḳhuun meñ utar rahī hai
us ke ek pal ko dūsre se joḌtī hai
tairtī hai saañs meñ
havā kī vo sharīr mauj chhīn luuñ
vo jānvar hamārī nasl kā nahīñ
vo kyuuñ hañse vo kyuuñ jiye
hamāre rū-ba-rū hamārī aarzū ke rū-ba-rū
vo is zamīñ pe kyuuñ chale
ajiib ḳhvāhisheñ ajab ḳhvāhishoñ kī ham-safar
har ek aa.ina magar hai dūsre ke sāmne
ġhalīz sūrateñ ġhalīz sūratoñ ke sāmne
maiñ ajnabī vo ajnabī
asiir aarzū bhī magar siyāh kā dil dil be-ḳhabar
vo dā.era ravāñ hai jis ke har safar kī intihā
maqām-e-marg-e-tāzgī maqām-e-marg-e-naġhmagī
havā namī safed dhuup zard phuul dekhte hī dekhte guzar ga.e
hamārī aarzū ke biich mausamoñ pe chhā ga.e
asir-e-arzu hujum-e-be-aman
sharab roz-o-shab ki aatish-rawan mein
barhami ke qahqahon ki bazgasht
ab hamare darmiyan
ajib KHwahishon ke bij bo rahi hai
mere waste jo ajnabi hai
us ko pas se guzarta dekh lun to us ki raushni
ko noch lun
jo us ke KHun mein utar rahi hai
us ke ek pal ko dusre se joDti hai
tairti hai sans mein
hawa ki wo sharir mauj chhin lun
wo jaanwar hamari nasl ka nahin
wo kyun hanse wo kyun jiye
hamare ru-ba-ru hamari aarzu ke ru-ba-ru
wo is zamin pe kyun chale
ajib KHwahishen ajab KHwahishon ki ham-safar
har ek aaina magar hai dusre ke samne
ghaliz suraten ghaliz suraton ke samne
main ajnabi wo ajnabi
asir aarzu bhi magar siyah ka dil dil be-KHabar
wo daera rawan hai jis ke har safar ki intiha
maqam-e-marg-e-tazgi maqam-e-marg-e-naghmagi
hawa nami safed dhup zard phul dekhte hi dekhte guzar gae
hamari aarzu ke bich mausamon pe chha gae
- Book : 1971 ki Muntakhab Shayri (Pg. 14)
- Author : Kumar Pashi, Prem Gopal Mittal
- Publication : P.K. Publishers, New Delhi (1972)
- Edition : 1972
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.