mausam
bhīge hue mausam kā
andāz nirālā ho
yaḳh-basta se hāthoñ meñ
coffē kā piyāla ho
kamre kī khulī khiḌkī se
bāhar kā nazāra ho
phūloñ kī mahak chhup kar
kamre meñ utar aa.e
ehsās se ḳhushbū ke
ik tāzgī bhar jaa.e
māhaul ho rūmānī
jazboñ meñ ravānī ho
taaza sā tirā chehra
yuuñ sāmne aa jaa.e
ḳhāmosh laboñ par bhī
rangīn kahānī ho
phīkā sā harā jhoñkā
Takrā.e jo shīshe se
ma.asūm sā ik naġhma
kānoñ meñ samā jaa.e
hāthoñ meñ qalam le kar
jab Diary maiñ kholūñ
phir lafzoñ kā jal-thal ho
ho jaa.e ġhazal puurī
bhige hue mausam ka
andaz nirala ho
yaKH-basta se hathon mein
coffee ka piyala ho
kamre ki khuli khiDki se
bahar ka nazara ho
phulon ki mahak chhup kar
kamre mein utar aae
ehsas se KHushbu ke
ek tazgi bhar jae
mahaul ho rumani
jazbon mein rawani ho
taza sa tera chehra
yun samne aa jae
KHamosh labon par bhi
rangin kahani ho
phika sa hara jhonka
Takrae jo shishe se
masum sa ek naghma
kanon mein sama jae
hathon mein qalam le kar
jab Diary main kholun
phir lafzon ka jal-thal ho
ho jae ghazal puri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.