mausam
mausam to har saal is shahr meñ aate haiñ
hare bhare maTiyāle mausam
lekin un kī god meñ ham is mausam kī
koñpal DhūñDte rahte haiñ
jo sāñsoñ ke ras ko chhū kar jismoñ ke bal par tak chaḌh aatī hai
jis kī ok meñ pyāsī ḳhvāhish
saarī rutoñ ke rang aur zā.iqe
chakh letī hai
jaise gahre bādal kī āġhosh meñ bārish
aur bahte dariyāoñ kī pātāl meñ motī
aise hī ham donoñ kī be-tāb kashish se
ik ye mausam chhā jaatā hai
mausam jis ke dhānī kapḌe
lazzat kī ḳhushbū se tar haiñ
jis ke khule hue mausam meñ
jañgalī tītriyoñ ke par haiñ
mausam to har sal is shahr mein aate hain
hare bhare maTiyale mausam
lekin un ki god mein hum is mausam ki
konpal DhunDte rahte hain
jo sanson ke ras ko chhu kar jismon ke bal par tak chaDh aati hai
jis ki ok mein pyasi KHwahish
sari ruton ke rang aur zaiqe
chakh leti hai
jaise gahre baadal ki aaghosh mein barish
aur bahte dariyaon ki patal mein moti
aise hi hum donon ki be-tab kashish se
ek ye mausam chha jata hai
mausam jis ke dhani kapDe
lazzat ki KHushbu se tar hain
jis ke khule hue mausam mein
jangali titriyon ke par hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.