maut hamare taaqub mein hai
ik din jab ham
dam toḌeñge
to tābūt meñ
saath hamāre kyā jā.egā
kaash kabhī ye sochā hotā
rang-o-bū kī
duniyā meñ kyā
zinda rahegā
koī hamesha
dil kī nagrī meñ ham utreñ
aur zarā ye socheñ bhaa.ī
apne andar
īmāñ kī daulat
rakh kar bhī
kitne muflis haiñ ham
aage kī mushkil ghāTī ko
phir kaise ham paar kareñge
aage kī manzil ke liye bhī
raḳht-e-safar kuchh bāñdheñ jaldī
vaqt bahut hī kam hai bhaa.ī
pīchhe muḌ kar ye to dekheñ
maut hamāre ta.āqub meñ hai
ek din jab hum
dam toDenge
to tabut mein
sath hamare kya jaega
kash kabhi ye socha hota
rang-o-bu ki
duniya mein kya
zinda rahega
koi hamesha
dil ki nagri mein hum utren
aur zara ye sochen bhai
apne andar
iman ki daulat
rakh kar bhi
kitne muflis hain hum
aage ki mushkil ghaTi ko
phir kaise hum par karenge
aage ki manzil ke liye bhi
raKHt-e-safar kuchh bandhen jaldi
waqt bahut hi kam hai bhai
pichhe muD kar ye to dekhen
maut hamare taaqub mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.