maut
vo tabassum kī saḌak par
thāme jis kī uñgliyāñ
mahv-e-safar thā kal talak
raushan mohabbat kī isī pahchān ko
dargor kar dene se pahle
ġham sameTe
narm kāñdhe par
kisī lab-rez bādal kī tarah
rone lagā thā phuuT kar
be-chārgī āshuftagī darmāndagī
se vāsta thā har taraf us ko
magar ye silsila
kab tak kahāñ tak
tāza-dam rahtā
ma.an ehsās jaagā zehn meñ us ke
ki us se āsmāñ kahne lagā hai
''jab maza chakhnā sabhī ko
maut kā hai
ek din lāzim
to kaisā ġham
nahīñ kuchh bhī tire bas meñ
kamar kas le
vafā karne ko sab rasmeñ!''
wo tabassum ki saDak par
thame jis ki ungliyan
mahw-e-safar tha kal talak
raushan mohabbat ki isi pahchan ko
dargor kar dene se pahle
gham sameTe
narm kandhe par
kisi lab-rez baadal ki tarah
rone laga tha phuT kar
be-chaargi aashuftagi darmandagi
se wasta tha har taraf us ko
magar ye silsila
kab tak kahan tak
taza-dam rahta
man ehsas jaga zehn mein us ke
ki us se aasman kahne laga hai
jab maza chakhna sabhi ko
maut ka hai
ek din lazim
to kaisa gham
nahin kuchh bhi tere bas mein
kamar kas le
wafa karne ko sab rasmen!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.