maut ka sal
Interesting Fact
(کووڈ-19 سے پھیلی دہشت کے عالم میں)
ye ahd-e-nau kā chalan hai yā ye shauq tumhārā azalī hai
tum calender tārīḳhoñ ko
kisī aur hī naam se jānte ho
yaañ jazbe rishte fikr aur fard ayyām se haiñ mansūb sabhī
kabhī darmāñ karnā chāhā kuchh amrāz kā de kar din kā ḳhirāj
jangeñ bhī tumhārī hī ījād
aur yaum-e-aman kā Dhoñg bhī tum
tum vo jo sūrat-e-qahr gire
is rū-e-zamīñ ke shahroñ par
phir un shahroñ ke naam se din mansūb bhī karne vaale tum
haañ bhuul ga.e us hastī ko
maḳhsūs koī bhī yaum nahīñ hai us ke jashn-e-charāġhāñ ko
ho jis kī siyah-zulfoñ ke asiir avval din se
kyā kyā nahīñ hiile tum ne kiye
merī hī talab kī unglī thāme atom bam ījād kiyā
kabhī zer-e-zamīñ rāh-e-ātish hamvār kiyā
kabhī dekhā chashm-e-falak ne manzar jab
tum thaam ke bāheñ merī the masrūr bahut
ik ahd-e-hajar se masnūī fatānat tak
jab bhī koī ḳhūñ-āshām sadā Takrā.ī mere kānoñ se
maiñ pair meñ ghuñghrū bāñdh uThī
inkār kiyā tum ne jab mere jashn-e-charāġhāñ kā
maiñ ne ik saal mukammal apne naam kiyā
lekin tum ne
harf-e-ġhalat kā naam diyā
chāhā ki kar do mahv mujhe is rū-e-zamīñ ke safhe se
sāl-e-nau kī is ujlī tābinda fazā meñ
faisla apne haath meñ lo
yā merī parastish band karo
yā mere naam ik jaam karo
chērs kaho
ye saal bhī mere naam karo
ye ahd-e-nau ka chalan hai ya ye shauq tumhaara azali hai
tum calender tariKHon ko
kisi aur hi nam se jaante ho
yan jazbe rishte fikr aur fard ayyam se hain mansub sabhi
kabhi darman karna chaha kuchh amraaz ka de kar din ka KHiraj
jangen bhi tumhaari hi ijad
aur yaum-e-aman ka Dhong bhi tum
tum wo jo surat-e-qahr gire
is ru-e-zamin ke shahron par
phir un shahron ke nam se din mansub bhi karne wale tum
han bhul gae us hasti ko
maKHsus koi bhi yaum nahin hai us ke jashn-e-charaghan ko
ho jis ki siyah-zulfon ke asir awwal din se
kya kya nahin hile tum ne kiye
meri hi talab ki ungli thame atom bam ijad kiya
kabhi zer-e-zamin rah-e-atish hamwar kiya
kabhi dekha chashm-e-falak ne manzar jab
tum tham ke bahen meri the masrur bahut
ek ahd-e-hajar se masnui fatanat tak
jab bhi koi KHun-asham sada Takrai mere kanon se
main pair mein ghunghru bandh uThi
inkar kiya tum ne jab mere jashn-e-charaghan ka
main ne ek sal mukammal apne nam kiya
lekin tum ne
harf-e-ghalat ka nam diya
chaha ki kar do mahw mujhe is ru-e-zamin ke safhe se
sal-e-nau ki is ujli tabinda faza mein
faisla apne hath mein lo
ya meri parastish band karo
ya mere nam ek jam karo
cheers kaho
ye sal bhi mere nam karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.