maut ki nasihat
maut ne us kī āñkhoñ meñ āñkheñ Dālīñ
to use badan kā bosīda libās haath meñ thāme
be-ḳhauf-o-ḳhatar
apne istiqbāl ke liye khaḌā paayā
vo sahm ga.ī
us kī haibat maañd paḌ ga.ī
vo us ke qātiloñ ke paas ga.ī
aur jo kuchh dekhā thā unheñ batā diyā
vo samjhe ki maut un ke saath kisī sāzish meñ sharīk ho ga.ī thī
un kī tasallī ke liye
vo us kā bosīda libās le aa.ī
magar jaate vaqt nasīhat kar ga.ī
ki ise sambhāl kar rakheñ
us din ke liye
jab mulk meñ kapḌe kā qaht paḌegā
aur un ke nañge badan Dhāñpne ke liye
kisī ke paas koī kapḌā na hogā
us ek libās ke sivā
maut ne us ki aankhon mein aankhen Dalin
to use badan ka bosida libas hath mein thame
be-KHauf-o-KHatar
apne istiqbaal ke liye khaDa paya
wo sahm gai
us ki haibat mand paD gai
wo us ke qatilon ke pas gai
aur jo kuchh dekha tha unhen bata diya
wo samjhe ki maut un ke sath kisi sazish mein sharik ho gai thi
un ki tasalli ke liye
wo us ka bosida libas le aai
magar jate waqt nasihat kar gai
ki ise sambhaal kar rakhen
us din ke liye
jab mulk mein kapDe ka qaht paDega
aur un ke nange badan Dhanpne ke liye
kisi ke pas koi kapDa na hoga
us ek libas ke siwa
- Book : Ishq e Tamam (Pg. 140)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.