maut kis ne banTi hai
raat ke añdhere meñ
aaj phir dabe paañv
sarsarātī sargoshī
phan uThā ke chaltī hai
vaqt ret kī mānind
haath se phisaltā hai
niiñd mujh se rūThī hai
bhuuk raqs kartī hai
pyaas chubhne lagtī hai
saañs kyuuñ aTaktī hai
jhāñko merī āñkhoñ meñ
aks dekh lo apnā
aur mujhe ye batlā do
kyā tumheñ khaTaktā hai
kyuuñ gurezāñ ho mujh se
kyā meñ bojh lagtī huuñ
kyuuñ machal sī jaatī ho
haath bhī baḌhātī ho
phir pare khisaktī ho
haath khol do mere
bhīñch lo nā siine meñ
gaal chhūne do apne
gar nahīñ rahī kal maiñ
lams to rahegā nā
ye sadā.eñ kaisī haiñ
jin kī guuñj se mere
kaan sansanāte haiñ
kis kī siskiyāñ haiñ ye
zindagī kī yā tum ho
maut to nahīñ nā ye
maut gar nahīñ hai ye
āhaTeñ haiñ phir kis kī
kyuuñ ghuTan kā pahra hai
kyā mujhe janam de kar
tum ne maut bāñTī hai
raat ke andhere mein
aaj phir dabe panw
sarsaraati sargoshi
phan uTha ke chalti hai
waqt ret ki manind
hath se phisalta hai
nind mujh se ruThi hai
bhuk raqs karti hai
pyas chubhne lagti hai
sans kyun aTakti hai
jhanko meri aankhon mein
aks dekh lo apna
aur mujhe ye batla do
kya tumhein khaTakta hai
kyun gurezan ho mujh se
kya mein bojh lagti hun
kyun machal si jati ho
hath bhi baDhati ho
phir pare khisakti ho
hath khol do mere
bhinch lo na sine mein
gal chhune do apne
gar nahin rahi kal main
lams to rahega na
ye sadaen kaisi hain
jin ki gunj se mere
kan sansanate hain
kis ki siskiyan hain ye
zindagi ki ya tum ho
maut to nahin na ye
maut gar nahin hai ye
aahaTen hain phir kis ki
kyun ghuTan ka pahra hai
kya mujhe janam de kar
tum ne maut banTi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.