mawaKHiza
hamāre saath jo kuchh rāhzan bhī haiñ māḳhūz
vo ahl-e-shahr ke kahne se chhūT jā.eñge
gavāh-e-kufr hamīñ meñ hai kaun pahchāne
hamīñ to ek se lagte haiñ aaj sab chehre
hamārā jurm to rū-posh bhī nahīñ ab ke
kisī gavāh kī hājat nahīñ sazā ke liye
dayār-e-ġham kī sadā-e-nahufta pahchāno
havā-e-jabr charāġh-e-nafas ke dar pe hai
ye aur baat hai ḳhud ko chhupā rahā hai magar
valī-e-shahar sambhāle hai taaj kāñToñ kā
hujūm bahar-tamāsha khaḌā hai galiyoñ meñ
ye asr-e-ḳhūñ kī kifālat kā mudda.ī hai abhī
salīb DhūñD rahī hai kisī masīh ko phir
yahī ghaḌī hai har ilzām apne sar le lo
hamare sath jo kuchh rahzan bhi hain maKHuz
wo ahl-e-shahr ke kahne se chhuT jaenge
gawah-e-kufr hamin mein hai kaun pahchane
hamin to ek se lagte hain aaj sab chehre
hamara jurm to ru-posh bhi nahin ab ke
kisi gawah ki hajat nahin saza ke liye
dayar-e-gham ki sada-e-nahufta pahchano
hawa-e-jabr charagh-e-nafas ke dar pe hai
ye aur baat hai KHud ko chhupa raha hai magar
wali-e-shahar sambhaale hai taj kanTon ka
hujum bahar-tamasha khaDa hai galiyon mein
ye asr-e-KHun ki kifalat ka muddai hai abhi
salib DhunD rahi hai kisi masih ko phir
yahi ghaDi hai har ilzam apne sar le lo
- Book : Aainaa Dar Aainaa (Pg. 76)
- Author : Aziz Qaisi
- Publication : Maktaba Saba Hayderabad (1972)
- Edition : 1972
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.