mazafat
chhoTe chhoTe qasboñ ke
dukh ajiib hote haiñ
sukh ajiib hote haiñ
āñsūoñ kī bastī meñ
rasne-basne vāloñ ko
kab koī ġharaz is se
kārobār-e-hastī meñ
nafā kyā ḳhasāra kyā
umr ke ḳhazāne meñ
besh-o-kam kā yaarā kyā
un kā apnā maslak hai
un kī apnī duniyā hai
in gharoñ kī chaukhaT par
vaqt baañg detā hai
muñh añdhere chakkī meñ
ḳhvāb piise jaate haiñ
chāñd sī rasoī meñ
bartanoñ ke ā.īne
dukh ko muñh chiḌhāte haiñ
in gharoñ ke āñgan meñ
din tulūa hotā hai
ḳhvāb kaate jaane se
zindagī kī Dorī meñ
sukh piro.e jaane se
aañkh ke kaToroñ meñ
ġham samo.e jaane se
mehrbāñ mashaqqat ke
bojh Dho.e jaane se
din tulūa hotā hai
kyāriyoñ kī miTTī meñ
giit jab nahāte haiñ
rang chahchahāte haiñ
saath kī muñDeroñ par
ḳhvāb par sukhāte haiñ
bachchiyāñ ḳhayāloñ meñ
apne ghar basātī haiñ
mom ke gharoñdoñ meñ
zindagī kī hanD-kulhiyā
dhuup se pakātī haiñ
be-zabān guḌiyoñ se
jin kī aañkh dhāge kī
jin ke hoñT resham ke
apne dil kī sab bāteñ
bārhā batātī haiñ
aur vaqt se pahle
sab rumūz jiine ke
aap siikh jaatī haiñ
in gharoñ ke āñgan meñ
dopahar utartī hai
ek nannhī suuī kī
aañkh ke jharoke se
ik kiran ke mokhe se
dhuup ke hinā.ī haath
tashtarī baḌhāte haiñ
chāhatoñ ke mīThe rang
zā.iqoñ ke nādīda
lams chhoḌ jaate haiñ
chūḌiyāñ khanaktī haiñ
haath baat karte haiñ
ang ang hañstā hai
por por ke andar
dil dhaḌakne lagtā hai
por por rotī hai
oḌhnī bhigotī hai
ḳhvāb vo paḌosī hai
jis ke ujle kurte kā
roz ik button TuuTe
dil ki vo mohalla hai
jis ke basne vāloñ se
roz ik ḳhushī rūThe
jaane kitne jismoñ ko
be-riyā mohabbat kī
aag chaaT jaatī hai
jaane kitne nau-maulūd
ḳhvāb dafn hote haiñ
dil ke sard-ḳhāne meñ
jaane kitne rishtoñ ko
dafn karke chupke se
vaqt ke gunāhoñ par
ḳhaak Daalī jaatī hai
in udaas galiyoñ meñ
sardiyoñ kī rātoñ meñ
duur paar se aate
dil-navāz gītoñ ke
sāñvle salone bol
chāñd ko rulāte haiñ
chāñd bholā-bhālā hai
chāñd ko ye kyā ma.alūm
zindagī kī nauTankī
yūñhī chaltī rahtī hai
muflisī kī raqqāsa
taal par zamāne kī
jaane kitnī sadiyoñ se
ek jaise boloñ par
raqs kartī rahtī hai
sub.h se zarā pahle
bebasī ke bistar par
vo jo aa ke Dhahtī hai
bistaraoñ ke sab paivand
us ko gudgudāte haiñ
be-sabab hañsāte haiñ
be-sabab rulāte haiñ
un galī mohalloñ meñ
raat jab utartī hai
maa.eñ apne bachchoñ ko
loriyāñ sunātī haiñ
apnī sard bāñhoñ kā
pālnā hilātī haiñ
ḳhvāb vo dikhātī haiñ
afsarī ke shāhī ke
ḳhvāb kaj-kulāhī ke
chāñd aur gulāb un ke
madrase jo jaate haiñ
qamchiyoñ se hotā hai
bachpane kā istiqbāl
phuul jaise jismoñ par
bed jab barastī hai
duur tak chatā.ī par
ik qatār meñ baiThe
lafz thartharāte haiñ
sab varaq kitāboñ ke
aise phaḌ.phaḌāte haiñ
jaise jaan khiñchtī ho
un kī dars-gāhoñ meñ
qamchiyāñ moallim haiñ
qamchiyāñ mudarris haiñ
qamchiyāñ raTātī haiñ
sabr achchhī aadat hai
sabr aur qanā.at se
zindagī sañvartī hai
un galī mohalloñ kā
husn kam-suḳhan bhī hai
aur bholā-bhālā bhī
haañ ye kam-suḳhan laḌkā
bhīgtī masoñ ke saath
ghar se jab nikaltā hai
umr kī hadeñ saarī
yuuñ phalāñg jaatā hai
muflisī havas-pesha
phuul jaise gāloñ kā
rang chuus letī hai
bholī-bhālī bātoñ se
ras nichoḌ letī hai
aur phir zamāne ke
biich chhoḌ detī hai
peT be-hayā dallāl
dar-ba-dar phirātā hai
sau jatan sikhātā hai
chhoTe chhoTe qasboñ meñ
ghar ke sāmne baiThī
sīdhī-sādī ummīdeñ
raah taktī rahtī haiñ
umr biit jaatī hai
kuchh ḳhabar nahīñ miltī
Dākiya jab aatā hai
chāhatoñ kī pūñjī meñ
ik raqam baḌhātā hai
aur lauT jaatā hai
sīdhī saadī ummīdeñ
ghar se jaane vāloñ ko
ek jaise lafzoñ kī
bhejtī haiñ sauġhāteñ
vaqt būḌhā munshī hai
jis ko ḳhat kā sab mazmūn
lafz lafz azbar hai
phir bhī pūchh letā hai
aur kyā likhūñ bolo
phir se ab ke sāvan meñ
sā.ebāñ Tapaktā hai
tan kī or ik dīvār
Dhe ga.ī hai ab ke baar
sīdhī-sādī ummīdeñ
roz-o-shab kī chaukhaT par
umr kaaT detī haiñ
jism ḳhaak ho jaa.e
jaan raakh ho jaa.e
peT to jahannum hai
ye javān rahtā hai
un kī aañkh kā sāvan
chāhe koī mausam ho
mehrbān rahtā hai
chhoTe chhoTe qasboñ ke
dukh ajiib hote haiñ
sukh ajiib hote haiñ
chhoTe chhoTe qasbon ke
dukh ajib hote hain
sukh ajib hote hain
aansuon ki basti mein
rasne-basne walon ko
kab koi gharaz is se
karobar-e-hasti mein
nafa kya KHasara kya
umr ke KHazane mein
besh-o-kam ka yara kya
un ka apna maslak hai
un ki apni duniya hai
in gharon ki chaukhaT par
waqt bang deta hai
munh andhere chakki mein
KHwab pise jate hain
chand si rasoi mein
bartanon ke aaine
dukh ko munh chiDhate hain
in gharon ke aangan mein
din tulua hota hai
KHwab kate jaane se
zindagi ki Dori mein
sukh piroe jaane se
aankh ke kaToron mein
gham samoe jaane se
mehrban mashaqqat ke
bojh Dhoe jaane se
din tulua hota hai
kyariyon ki miTTi mein
git jab nahate hain
rang chahchahate hain
sath ki munDeron par
KHwab par sukhate hain
bachchiyan KHayalon mein
apne ghar basati hain
mom ke gharondon mein
zindagi ki hanD-kulhiya
dhup se pakati hain
be-zaban guDiyon se
jin ki aankh dhage ki
jin ke honT resham ke
apne dil ki sab baaten
barha batati hain
aur waqt se pahle
sab rumuz jine ke
aap sikh jati hain
in gharon ke aangan mein
dopahar utarti hai
ek nannhi sui ki
aankh ke jharoke se
ek kiran ke mokhe se
dhup ke hinai hath
tashtari baDhate hain
chahaton ke miThe rang
zaiqon ke nadida
lams chhoD jate hain
chuDiyan khanakti hain
hath baat karte hain
ang ang hansta hai
por por ke andar
dil dhaDakne lagta hai
por por roti hai
oDhni bhigoti hai
KHwab wo paDosi hai
jis ke ujle kurte ka
roz ek button TuTe
dil ki wo mohalla hai
jis ke basne walon se
roz ek KHushi ruThe
jaane kitne jismon ko
be-riya mohabbat ki
aag chaT jati hai
jaane kitne nau-maulud
KHwab dafn hote hain
dil ke sard-KHane mein
jaane kitne rishton ko
dafn karke chupke se
waqt ke gunahon par
KHak Dali jati hai
in udas galiyon mein
sardiyon ki raaton mein
dur par se aate
dil-nawaz giton ke
sanwle salone bol
chand ko rulate hain
chand bhola-bhaala hai
chand ko ye kya malum
zindagi ki nauTanki
yunhi chalti rahti hai
muflisi ki raqqasa
tal par zamane ki
jaane kitni sadiyon se
ek jaise bolon par
raqs karti rahti hai
subh se zara pahle
bebasi ke bistar par
wo jo aa ke Dhahti hai
bistaraon ke sab paiwand
us ko gudgudate hain
be-sabab hansate hain
be-sabab rulate hain
un gali mohallon mein
raat jab utarti hai
maen apne bachchon ko
loriyan sunati hain
apni sard banhon ka
palna hilati hain
KHwab wo dikhati hain
afsari ke shahi ke
KHwab kaj-kulahi ke
chand aur gulab un ke
madrase jo jate hain
qamchiyon se hota hai
bachpane ka istiqbaal
phul jaise jismon par
bed jab barasti hai
dur tak chatai par
ek qatar mein baiThe
lafz thartharaate hain
sab waraq kitabon ke
aise phaDphaDate hain
jaise jaan khinchti ho
un ki dars-gahon mein
qamchiyan moallim hain
qamchiyan mudarris hain
qamchiyan raTati hain
sabr achchhi aadat hai
sabr aur qanaat se
zindagi sanwarti hai
un gali mohallon ka
husn kam-suKHan bhi hai
aur bhola-bhaala bhi
han ye kam-suKHan laDka
bhigti mason ke sath
ghar se jab nikalta hai
umr ki haden sari
yun phalang jata hai
muflisi hawas-pesha
phul jaise galon ka
rang chus leti hai
bholi-bhaali baaton se
ras nichoD leti hai
aur phir zamane ke
bich chhoD deti hai
peT be-haya dallal
dar-ba-dar phiraata hai
sau jatan sikhata hai
chhoTe chhoTe qasbon mein
ghar ke samne baiThi
sidhi-sadi ummiden
rah takti rahti hain
umr bit jati hai
kuchh KHabar nahin milti
Dakiya jab aata hai
chahaton ki punji mein
ek raqam baDhata hai
aur lauT jata hai
sidhi sadi ummiden
ghar se jaane walon ko
ek jaise lafzon ki
bhejti hain saughaten
waqt buDha munshi hai
jis ko KHat ka sab mazmun
lafz lafz azbar hai
phir bhi puchh leta hai
aur kya likhun bolo
phir se ab ke sawan mein
saeban Tapakta hai
tan ki or ek diwar
Dhe gai hai ab ke bar
sidhi-sadi ummiden
roz-o-shab ki chaukhaT par
umr kaT deti hain
jism KHak ho jae
jaan rakh ho jae
peT to jahannum hai
ye jawan rahta hai
un ki aankh ka sawan
chahe koi mausam ho
mehrban rahta hai
chhoTe chhoTe qasbon ke
dukh ajib hote hain
sukh ajib hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.