mazhabi peshwa
ḳhudā aur us ke insāf se Darne vaale
ḳhatā-posh kamzor dil
vajūd aur nā-vajūd kā
munāzra karne vaale
shikāriyoñ se behtar haiñ
ki un ke paas
ḳhauf-zada hone ke liye
koī ḳhudā
maujūd nahīñ hotā
vo maz.hab kī musāvāt
tohfoñ se zarb de kar
maslahatoñ meñ taqsīm karte haiñ
aur farz kiye ga.e ḳhudā ko
bhuuk kā kulliya lagā kar
sikke ke barābar le aate haiñ
KHuda aur us ke insaf se Darne wale
KHata-posh kamzor dil
wajud aur na-wajud ka
munazra karne wale
shikariyon se behtar hain
ki un ke pas
KHauf-zada hone ke liye
koi KHuda
maujud nahin hota
wo mazhab ki musawat
tohfon se zarb de kar
maslahaton mein taqsim karte hain
aur farz kiye gae KHuda ko
bhuk ka kulliya laga kar
sikke ke barabar le aate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.